qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

char auraton se nikah kab ? insan char autaton ko ek sath kab rakh sakta hai

 4 auraton se nikah kab

 Jo shakhs 4 auraton ke huqooq e nikaah yani khana kapda rehne ke liye makan Jima ki qudrat wa taqat rakhta ho aur sab auraton ke huqooq Ada karne mein adal aur barabari qaim per bhi qadir ho to uske liye Allah tala ne ijaazat di hai ke woh char auraton ko ek sath nikaah mein rakh sakta hai aur koi shakhs in shrait per pura na utarta ho to uske liye char auraton ko ek sath rakhna haram wa najaiz aur gunah hai agar koi ek hi aurat ke huqooq ada Karne ki qudrat aur taqat rakhta ho to woh sirf ek hi aurat nikaah mein rakh sakta hai  jo Mulhideen aur magrib zidah mard aur  auraten Islam mein char auraton ke rakhne per ta.an wa tashni aur aitraaz Karte rehte Hain unhen quran Karim ki is aayat Ka ba gaur mutala karna chahie take unki nigahon se jahalat ke parde uth jaen aur Islam ke qawaneen e rehmat Ka Suraj unhen nazar aane lage Quran majeed mein saaf saaf Allah tala ka farman hai (agar tumhen andesha hoke yateem ladkiyon mein insaaf na karoge to nikah main lao Jo auraten tumhen Pasand Aaye 2 2 aur 3 3 aur 4 4 phir agar daro ki do biwiyon ko barabar na Rakh sakoge to ek hi aurat se nikah karo ya kaneezen rakho jinke tum  Malik ho yeh usse zyada qarib hai ke tumse zulm Na ho)( para 4 Surah nisa ayat 3) gaur kijiye ke ek aurat se ziyada rakhne ke liye Allah tala ne kitni Sharait rakhi hai ki auraton ke tamam huqooq Ada hon aur sab biwiyon ko barabari ke sath unke huqooq deta rahe aur agar yeh sab sharten Puri Na kar sakta ho to uske liye sirf ek hi aurat se nikah ki ijazat hai aur agar koi ek biwi ke huqooq ko bhi Ada karne per qadir Na ho to uske liye nikah karna hi haram hai jaisa ke Allah tala Quran majeed mein irshad farmaya ke (aur chahiye ke bache rahen woh Jo nikaah ka maqdoor Nahin rakhte yahan tak ke Allah tala Apne fazl se maqdoor wala kar de) (para 18 Surah Noor ayat 33 )

Kitna wazeh aur saaf saaf irshad hai ke jis shaks ko huqooq e nikah Ada karne ka maqdoor(taqat) hi Na ho woh us waqt tak nikaah Na kare jab tak maqdoor (taqat) wala Na ho jaaye behre hal aitraaz Karne Wale bahut badi galat fehmi mein mubtela hain ke islam main har shakhs ko 4 nikah Karne ki ijaazat hai hasha hasha yeh bilkul hi galat hai aap Quran ka farman sun chuke ki ek sath char biwiyan rakhne ke liye Allah tala ne bahut si sharten rakhi hain yahan tak ke ek biwi rakhne ke liye bhi kuchh Sharait Hain ke woh agar Woh na Puri  ho sake to ek aurat se bhi nikah karna jaaiz  Nahin hai balke woh sabr Kare ya kaneez par ektafa Kare

Tadad azwaj ki hikmat

Allah tala ne khas khas Suraton mein Chand sharait ke sath ek shakhs ko Chand biwiyan rakhne ki jo rukhsat wa ijazat di hai yeh bahut hi Hakimaana faisla hai jo auraton ke haq mein rahamaton ki jannat hai kyunki baaz auqat jangon ya dusre asbab ki Bina per mardon ki tadad kam aur auraton ki tadad ziyada ho jaati hai to agar mardon ko ek aurat se ziyada rakhne ki ijazat Na Hoti to bahut si auraten bila shohar ke reh jaati jisse beshumar maashi aur samaji masail Ka samna ho jata jinko duniya ke bade bade Oqla aur danishwar hal nahin kar sakte the  isliye Islam ne yeh qanoon e rehmat ata farmaye ke baaz Suraton aur baaz halat mein Chand Sharait ke sath ek mard chand auraton ko apni zojiyat mein rakh sakta hai take koi aurat bila shohar ke na reh jaaye magar afsos ke kuchh logon ne is rehmaton ki jannat ko apni kam aqli ya galat fehmi se rehmaton ka jahannam samajh liya hai Allah tala un logon ko aqal e Salim ata farmaye aur hidayat ki sidhi shahirah per chalaye ameen


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.