qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Aurat aur mard donon ke liye zeenat halal hai saj sawar sakte hain lekin


 Aurat aur mard donon ke liye zeenat halal hai

acche acche kapde pahen kar balon mein Tel kanghi Karke Apne badan ko aarasta karna aur apne Jism ko zeenat dena aurat aur mard donon ke liye halal hai isi Tarah Apne makan aur apni dukaan ko lip pot kar ya rang wa Rogan Karke zeenat dena ya behtreen furniture aur deeba zeb samanon se makan wa dukaan ko saja kar muzayyan karna isi Tarah milad Sharif aur deeni jalson ko jhandiyon aur phoolon pattiyon aur rang birang ke qomqumon se aarasta karna masjidon madarson aur makano ki behtreen design aur haseen Tarz  tameer se banakar un main zeenat paida karna shariyat ne ine baton ko kahin mana nahin kiya hai lihaza yeh sab zeenaten aur  aaraishen jaaiz wa durust Hain Quran majeed mein khudawand alam jalla jala lahoo ne irshad farmaya  ke 

(tarjuma) (tum farmao kisne haram ki Allah ki woh zeenat Jo usne Apne bandon ke liye nikali aur pak rizq  tum farmao ke woh imaan walon ke liye duniya mein aur qayamat mein to khas  unhi ke liye hai ham yunhi mufassal aayaten bayan karte hain ilm walon ke liye para 8 surah Al-araf aayat 32) 

isi Tarah ek dusri aayat mein irshad farmaya ke tarjuma (aadam ki aulad apni zeenat le lo jab masjid mein jao para 8 Surah Al araf ayat 31) 

matlab yeh hai ki masjid mein jaate waqt behtareen libaas wa poshak pehankar jaaya Karo jisse tumhare badan per zeenat paida ho jaaye 

Al hasil Allah tala ne zeenaton aur aaraishon ko hargiz kahin mana Nahin farmaya balke ja Baja Quran o hadees mein zeenat karne ka hukm farmaya hai lihaza baaz khushk log ya ilm jinke pass Nahi hai Jo apni sadgi ka propeganda karne ke liye in aaraishon per musalmanon ko Daant te aur malamat Karte rehte hain woh sarasar Galti per Hain UN logon se yahi puchna chahie ke batao ke kaun si aayat aur kaun si hadees mein in zeenaton aur aaraishon ki mumaniyat aai hai aur jab Allah wa  rasool ne mana nahin kiya to dusre ko mana karne aur Allah wa rasool ke halal ko haram thehrane ka kya haq hai ek dusri aayat mein Allah tala ne yeh irshad farmaya ke tarjuma (aye aadam ki aulad beshak humne tumhari taraf ek libaas woh utara ke tumhari sharm ki chizen chhupaye aur ek woh ke tumhari aaraish ho) 

hazrat allama Saawi alaihirrahma ne farmaya ke zeenat ke liye libas pehen na  mazmoon Nahin hai ba sharte ke woh zeenat Jaiz ho aur zeenat ke libaas se takabbur aur ghamand Ka izhar Na ho aur zeenat ka libas chhodkar khurdure aur bahut hi kam qimat kapde pehen na bhi mazmoon Nahin hai ba sharte ke agraaze fasedah maslan dawa e wilayat ya muflisi ka izhaar taake ziyada bheek milne se khali ho 

khulasa e kalaam yeh hai ki zeenat ka libas pehen ne aur kam qimat aur mamuli libaas pehen ne ka daromadar qasd aur niyat per hai 

( saawi alal jalaa lain jild 2 Safa 46)

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.