Salam ko aam karo Salam Karne Ka hukum
ek musalman jab Kisi musalman se mulaqat Kare ya kisi ke ghar jaaye ya khud apne ghar mein dakhil ho to chahie ke salam Kare salam islam ka tehzeebi nishan hai salam karna sunnat aur uska jawab dena farz hai
Allah tala ne irshad farmaya ke
(tarjuma) aur jab tumhen koi Kisi lafz se salam kare to tum us se behtar lafz jawab main kaho ya wahi keh do beshak Allah har chij per hisab Lene wala hai Para 5 Surah nisa ayat 86)
matlab yah hai ki agar koi tumko Assalamu alaikum keh kar salam Kare to tum usse behtar lafz ke sath jawab do yani ek lafz badhakar walekum Assalam wa rahmatullah kaho ya tum bhi khali walekum assalam hi keh do
dusri aayat mein irshad farmaya ke (tarjuma) aye imaan walon Apne gharon ke Siva aur gharon mein Na jao jab tak ijazat Na le lo aur unke sakino per salam Na Kar lo para 18 Surah Noor ayat 27)
dusri aayat mein you irshad farmaya ke (tarjuma) phir jab Kisi ghar mein jao to apno ko salam karo milte waqt ki acchi dua Allah ke pass se Mubarak pakeezah (para 18 Surah Noor ayat 61)
matlab yeh hai ki apne ghar mein jao ya Kisi dusre ke ghar mein jao donon suraton main Ghar walon per salam karo salam kya hai yah ek acchi aur Mubarak wa pakeezah dua hai Jo Allah tala ki taraf se tumhen taleem ki gai hai lihaza mulaqat ke waqt is acchi dua ko kaam mein lao aur salam kar liya karo
salam ke alfaaz
salam kahe ya salaman kahe ya salamun alaikum kahe ya Assalamu alaikum kahe in Charon lafzon ke sath salam ki sunnat Ada ho jayegi Quran majeed main in Charon lafzon ke sath salam ka zikr hai lekin behtar yahi hai ki Assalamu alaikum ke lafz se salam Kare kyunki Sunni musalmanon mein isi lafz ke sath salam karna mashhur wa maroof aur raaeij hai
Post a Comment