qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Apne bure Amal se apne Marhoom man Baap Ko takleef Na pahunchao


Apne bure Amal se apne Marhoom man Baap Ko takleef Na pahunchao

Aajkal Ham aur aap be dareg Gunah karte hain Jahan Hamare Gunah Hamare liye baais nang wa aar hain wahin hamare marhoom maa baap ke liye bhi baais e sharmindagi aur takleef hain doston riwayat mein aata hai Ki Har do Shamba wa panj Shamba (Peer aur Jumerat) ko Allah Tala ke Huzoor Aamal pesh hote hain aur ambiya e Ikram Alaihimus salato wa tasleem aur maan baap ke samne Har Juma ko ~matlab ye hai ke ham acha kaam karen ya bura kaam neki karen ya burai to jo hamare achhe amal aur bure amal hain to ye hamare marhoom waldain ke samne juma ke roz pesh hote hain jab woh Nekiyon ko dekhte hain to us per Khush hote hain aur unke chehron Ki Safai wa Taabish badh Jaati Hai To Allah se daro aur apne Murdon ko Apne Gunaho se Ranj na pahunchao waqia Imam ibn ul Jozi ain ul hikayat Mein Ek waqia Kuchh youn naqal farmate hain Hazrat Sayyedena Sadaqa Bin Sulaiman Jafri farmate hain Mera Shabab tha aur mein Buri aadaton Aur Duniya Ki rangeeniyon Mein Magan tha magar jab mere walid sahab ka inteqal hua to Mera Dil chot kha Gaya Main Apni Saabeqa khataon per Sharminda Hote Hue Bargah e khudawandi Mein Tauba kar liya aur aamal e saleha ki taraf ragib ho Gaya phir bad qismati Se Ek Din Mein Kisi bure kam ka murtkib hua to Usi Raat walid e Muhataram khwab Mein Aaye Aur farmaya Mere Pyare bete Tere Amal Mere Samne pesh kiye Jaate Hain to mujhe bahut ziyada Khushi Hoti Hai Kyunki woh Nek Logon ke Amal Jaise hote hain lekin is Martaba jab tere aamal pesh kiye Gaye to mujhe bahut sharmindagi Ka Samna karna Pada khudara mujhe mere faut Shuda doston Ke Samne ruswa na kiya karo bas us Khwab ke bad Meri zindagi Mein Inquilab aa Gaya Main Dar Gaya aur Tauba per isteqamat ikhteyar karli Ravi Kehte Hain tahajjud Ki namaz mein Ham aap Rahmatullah alaih ko Is Tarah iltejaen karte hue sunte the aye saleheen Ki islah Karne Wale aye bhatke huwon ko Sidhi Rah chalane wale aye gunahgaro Par reham farmane wale main Tujh se aisi Tauba ka Sawal karta hoon Jiske bad Kabhi gunah Ki Taraf Na Jaaun Kabhi Burai wa Zulm Ki Taraf Nazar Utha Kar Bhi Na Dekhun aye Khaliq o Malik azzawajal Mujhe Sachi Tauba ki Taufeeq Ata Farma 

(ain ul hikayat jild 2 hikayat number 455)

doston Suna aur padha aapne aapke aamal aapke Marhoom Waledain Ko taklif Bhi pahunchate Hain aur Khushi bhi ab Faisla aapko Khud karna hai ke aap apne marhoom walid ya marhuma walida ko Apne acche Amal se Khush Rakhna chahte hain ya apni Bad aamaliyon se Ranjida aur taklif mein Rakhna hai faisla aap par hai !


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.