sunnat par amal karna husul e jannat ka zariya
Assalamu alaikum
Sunnat kya hai aur sunnat se Murad kya liya jata hai aur sunnat ke mutabiq kya Kam hai aur sunnat ke khilaf kaun sa kam hai kis kam ko kaha jata hai ke ye sunnat Hai sunnat ke mutabiq hai aur kis kaam ko sunnat ke khilaf Kaha Jayega yahi chizen mein batane wala hun sabse pehle To hamen sunnat ke bare mein janna chahiye ki sunnat kise kehte Hain sunnat ka maani kya hai sunnat ke maani hote hain tariqa lekin jab sunnat ka naam aata Hai aur jab sunnat Kaha jata hai Hai To is se Murad sunnat e rasool sallallahu alaihi wasallam liya jata hai
ab do teen misalon se aap is baat ko samjhen ki sunnat ke mutabiq kis kaam ko Kaha jata hai kaun sa kam sunnat hai jab aap yeh samajh jaenge to fir aap ko badi aasani hogi ki sunnat ke khilaf kya (What is the opposite of Sunnat?) hai sunnat ke khilaf kaun sa kam hai woh bhi samajh mein aa jaega
To chaliye samajhte Hain 2 - 3 misalon se ke sunnat ke mutabiq kis Amal ko Kaha jata hai
Pani peene Ka sunnat tariqa yeh Hai ki aadmi jab Pani peene lage To agar khada hai to baith jaaye aur sar par topi ya rumal rakh le aur bismillah padh kar sidhe hath se teen sans mein Pani piye jab Pani piye to Pani ko choos choos kar piye
yeh sunnat tareeqa hai is andaaz se Sarkar do jahan sallallahu alaihi wasallam Pani piya karte the aur jab ham Pani pien to Sarkar do jahan sallallahu Alaihi wasallam ki itteba karte hue pervi karte hue isi andaaz ke sath Pani pi lenge to yeh hamara Jo Pani peene Ka Amal Hai Pani peene Ka Jo Kam Hai To ye sunnat ke mutabiq Hoga sunnat kehlaega yani ke is tariqe se Pani peena sunnat hai aur agar is tariqe se koi Pani Nahin pita Hai khade khade hi ek sans mein hi Pura gilas Pani pi jata hai to ya sunnat ke khilaf Hoga(What is the opposite of Sunnat?)
isi tareeqe se khana Beth Kar khana sunnat Hai agar koi khade hokar khana khata hai to wo sunnat ke khilaf hai jab aadmi namaz padhta hai to mard ko naaf ke niche hath bandhna sunnat hai agar koi naaf ke niche hath na bandhe uper bandhe to ye sunnat ke khilaf hai
Aur bhi bahut sari misalen Di jasakti hain ke sunnat ke mutabiq kaunsa amal kaam hai aur kaunsa kaam sunnat ke khilaf hai What is the opposite of Sunnat?
Sunnat par Amal karne ka fayda
Nabi Kareem sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya jisne meri sunnat se mohabbat ki usne mujhse mohabbat ki aur jisne mujhse mohabbat ki woh mere sath jannat mein Hoga (tirmizi shareef) to is Hadees se maloom hua ki huzur Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ki sunnat mubaraka se mohabbat karna sarkare do alam sallallahu alaihi wasallam se mohabbat karna hai huzur sallallahu alaihi wasallam ki sunnaton par Amal karna huzur sallallahu alaihi wasallam ki mohabbat ke husool ka behtrin zariya hai musalmanon ko is baat per gaur karna chahiye ki jannat main dakhil hone ke liye mohabbat e rasool hi miftaah yani ki kunji Hai To hamari har baat aur har kaam aur sab kuchh sunnate rasool sallallahu alaihi wasallam ke mutabiq kar lena Allah ki khushnoodi Ka bhi baais hoga aur husool jannat Ka zariya bhi !
Post a Comment