qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

What is the best day for House Foundation as per Islam? makan ki bunyad


GHAR EK AZEEM NEMAT HAI 

Assalamu alaikum

Ham Jis ghar mein rehte hain Makan mein rehte hain Uske bare mein 3 baten main aapko batata hun sabse pehli baat Ghar yeh bahut badi nemat hai jo Hamen Allah tala ne ata Farmaya hai 

aur dusri Baat Ghar Ki ahmiyat Kya Hai aur Teesri Baat Ke Jab ham Ghar banate hain Ghar Ki buniyad rakhte Hain yani ke house foundetion Hamen kis din Rakhna chahie aur Behtar kaun sa Din Hai Hamen Islam Se aur huzur Sallallahu Alaihi wasallam se Ghar Ki buniyad rakhne ke bare mein Kya rehnumai milti Hai woh batatna Chahta hun

 Ghar ek azeem nemat

Insan ke liye Ghar Allah tala ki azeem nemat hai aur Allah tala ne Quran majeed mein is sahulat ki dasteyabi ko apna inam qarar Diya Hai farman e Bari tala hai ( tarjuma ) aur Allah ne tumhen Ghar diye rehne ko (s nehal aayat 80)

Allah tala is aayat main jiska aapane tarjuma padhe usmein Apne bandon per apni azeem nemat ka zikr farma raha hai ke usne unki rahaees ke liye Ghar banae Jis mein woh panah Lete Hain chhupao pakdte aur har qism ki sahuliyat se Mustafeed hote Hain aur insaan ghar mein apni zindagi ko mehfooz rakhta hai  ghar insan ki paidaish ki jagah aur uske aaram aur sukun ka markaz hai aur apne khandan ke sath waqt guzarne ke liye ala maqam hai aur uski khalwat ki jagah Hai tamam masaib aur  aalaam se choor Hokar insan ko aakhir Apne Ghar hi main sukoon naseeb hota Hai aur ghar hi insan ke biwi betiyon ke liye parda ki zamanat hai To yaqeenan ghar insanon ke liye Allah tala ki bahut badi nemat hai

Ghar ki ahmiyat kya Hai

Jiske pass Ghar Hai makan Hai Bangla hai aap us se Ghar ki ahmiyat ke bare mein nahin pata kar sakte Nahin maloom kar sakte agar aapko Ghar ki ahmiyat ke bare mein pata karna hai maloom karna hai ki Ghar ki ahmiyat kya Hai To unse maloom karo jinke paas Ghar Nahin ya un logon se poochho Jo log footpath per aur parkon par sote Raat basar karne par majboor hote hai  ya un se poochho Jo dar badar thokren khate hain aur khema mein waqt guzar te Hain ya un logon se jo bagair ghar ke khule aasman waqt guzarte Hain tab aapko Ghar ki qadar Aur ghar ki qimat ka andaza hoga

To yaqeenan ghar makan ki bahut badi ahmiyat hai aur jab humko Allah tala Ghar jaisi nemat ataa farma de to ham Jis qadar aur jitna bhi Allah tala ka shukr Ada Karen kam hai 

Ab teesri baat yah hai ke humko Allah tala makan ke liye plot ya zameen de de Aur makan banane ka hamare pass jugaad ho jaaye intezaam ho jaaye To hamen makan ki buniyad house Foundation kab rakhna chahie kaun sa din achcha hai Kaunsa din sahi hai house Foundation ke liye makan ki buniyad rakhne ke liye to iska jawab hamen hadis e rasool sallallahu alaihi wasllam main mil jata hai Hadees Mubarak main house Foundation yani ke makan ki buniyad rakhne ka Sahi din Aur kaun se din mein rakha jaaye uska jawab hamen mil jata Hai 

itwar duniya ke Dino Ka pehla din hai hazrat anas bin Malik radi Allahu anhu farmate Hain ke jab mehboob e khuda sallallahu Alaihi wasallam se itwar Yani (Sunday) ke mutalliq puchha gya to aapne farmaya  yeh din bone Aur imarat banane ka hai sahaba ikram ne arz Kiya ye kis Tarah ya rasool Allah sallallahu alaihi wasallam aapne farmaya ke itwar ko Allah tala ne duniya aur uski imarat ki ibtida farmai (gunyatut.talebeen j2s73)

isiliye itwar ke din khet bona aur darakht lagana Aur makan ki tameer karna baais e  barkat hai

To pata chal gaya agar ham jab naya makan banate hain tameer karte Hain house Foundation rakhte Hain To itwar ke din rakha jaaye ye bais e barkat hai aur  behtar Hai naye makan ki tameer karne ke liye 

Mai ummid karta hun ki aap samajh Gaye honge ke makan ke bare mein ke  makan Allah ki azeem nemat Hai makan ki bahut ahmiyat hai aur hamen makan ki buniyad house Foundation kab rakhna chahie 

agar post Pasand aaye to apni Rai comments box mein zarur den aur ise share bhi zarur Karen !

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.