huzur ki wiladat ki tarikh 12 Rabi ul awwal hai
Assalamu alaikum ashiqane rasool har sal jab Nabi Kareem sallallahu Alaihi wasallam ki wiladat ka din aata Hai yani ke 12 Rabi ul awwal ko bade hi dhumdham se khushiyan manate Hain juloos nikalte Hain Sarkar do jahan sallallahu Alaihi wasallam ki wiladat basadat 12 Rabi ul awwal ko hui to barah Rabi ul awwal kohi gulamane Mustafa sallallahu alaihi wasallam aapki wiladat ki Khushi ka izhaar karte hain Khushi manate Hain lekin yahan per ek baat Aur bhi saamne aati Hai ke Nabi Kareem sallallahu Alaihi wasallam ki wiladat ki tarikh 9 Rabi ul awwal hai 12 Nahin to main aaj aapko yahi batane wala hun Ki Nabi Kareem sallallahu Alaihi wasallam ki wiladat ki tarikh 9 Nahin bal ke 12 Rabi ul awwal hai aur muhaddis ibn jozi ke mutabiq ahle tehqiq Ka is per ijma hai Yani Nabi Kareem sallallahu Alaihi wasallam ki wiladat ki tarikh 12 Rabi ul awwal hai Imam Bukhari v Muslim ke ustaz Hafiz abubakar ibn abi sheba ne mazboot sanad ke sath rivayat kiya ( tarjuma) hazrat jabir aur hazrat Abdullah ibn Abbas Razi Allahu tala anhu se riwayat hai beshak donon ne farmaya rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ki wiladat Aam ul feel mein somwar ke roz Rabi ul awwal ki 12 tarikh ko hui
(Hidaya wnnihaya ibne kaseer jild 2 safa 260)
To Is se maloom hua ke Nabi Karim sallallahu Alaihi wasllam ki wiladat ki tarikh 12 Rabi ul awwal hai
Aur hamesha se harmen sharifen samet duniya bhar main 12 Rabi ul awwal hi Bator yaum e wiladat nabvi sallallahu alaihi wasallam mamool hai
Deo bandi maktaba e fikr ke mufti Mohammed shafi ne seerat khatemul anbiya ke safa 18 per Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ki wiladat ki tarikh 12 Rabi ul awwal hi likha hai yani ke Deo bandi maktaba e fikr ke nazdeek bhi Aaqa e do jahan sallallahu alaihi wasallam ki wiladat ki jo tarikh hai Woh 12 Rabi ul awwal hi hai
Phir yahan per ek baat aur samne aati Hai ki
wiladat ek bar hui milad har Saal kyon
to iska jawab yeh hai zamano ka aapas mein rabt aur zamane ke ek hisse ki kadiyan dusre hisse ke sath milna shariyat e islamiya main sabit Hai Nabi Akram sallallahu Alaihi wasallam se somwar ke din ke roza ke bare mein Sawal Kiya Gaya to aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya (tarjuma) "yeh woh azeem din hai jismein meri wiladat hui" To is se sabit hua wiladat ki baar baar Khushi na sirf Jaiz bake sunnat e nabwi hai
Aur hazrat aadam alaihissalam ki khalqat(pedaish) juma ke roz ek bar hui lekin har juma ke roz bar bar Eid manai jaati Hai
Aur Ramzan Mubarak mein nuzul e quran ek bar hua magar nuzul e Quran Ka jashn har Saal manaya jata hai
aur hazrat isa alaihis salam ne arz kiya (tarjuma) aye hamare Rab ham per aasman se Khanon ka ek dastarkhan nazil kar Jo hamare pehle aur pichhle sab ke liye Eid ban jaaye (Quran majeed) maloom hua ki nuzul nemat ka din bar bar manana balke Eid aur jashn ke taur per manane ki asal Quran majeed mein maujud Hai isi qurani usool ke tehat Allah ki sabse badi nemat aur rehmat huzoor Syyed e do alam sallallahu Alaihi wasallam ki duniya mein tashreef aawri ke din Eid aur jashn manana sharan jaaiz v mustahab hai !
Post a Comment