Jo safar ko jaate Hain yani musafir unki namaz ka byan
Har shakhs ko kahin na kahin Safar karne ka ittifaq hota Hai namaz ek aisa Fariza Hai ke hizar ho ya Safar har hal mein use Ada karna hai albatta Safar ki namaz mein riyayat ki gai hai chhut di gai hai aur safar mein qasar namaz padhne ki aasani Di gai hai ~
Safar ki halat mein zohar asar aur Isha yani 4 rakat wali farz namaz mein qasar karne ka hukm hai yani 4 rakat farz ke bajaye 2 rakat farz padhne ka hukm hai halat e safar mein sunnaten Puri padhi jaayengi aur agar ujlat Hai jaldi Hai To sunnat maaf Hain ~
sharan woh shakhs musafir hai Jo 3 din ki Raah tak jane ke Irade se apni basti se Safar karne ke liye bahar ho 3 din ki Raah se murad sadhe 57 mil ki duri hai musafat hai yani Jo shakhs apni basti se sadhe 57 meel ki duri ki musafat ke safar se rawana hua woh musafir Hai Aur woh qasar namaz padhega (bahar e shariat hissa 4 Safa76)(fatawa rizvia jild 3 Safa 667)
Note- sadhe 57 meel ke kilo miter 92.54 hote hain
Musafir ke liye 5 sahulaten
Shariat ne musafir ke liye panch sahulaten rakhi hain
1) 4 rakat wali farz namaz mein qasar yani ke 4 rakat ki bajaye do rakaten padhe do maaf hain
2) juma v Eiden ki namaz us per wajib Nahin
3) mozon per 3 din tak masah kar sakta hai
4) qurbani Uske zimme wajib Nahin Hai
5) Ramzan ke farz roze agar Ramzan Mubarak mein tark kar de chhod de to jaiz hai
Safar ki niyat aur ahkam e Safar
Niyat Safar ki sehat ki teen sarte Hain
1) Safar karne wala niyat karne mein mustaqil ho Kisi dusre ka tabe Na ho aurat aur Gulam ki niyat motbar nahin kyunki woh khawind aur Malik ke tabe hain
2) musafir Balig ho Na Balig ki niyat Sahi Nahin Hai
3) muddat Safar 3 din se kam Na ho yani 92 kilometre se kam fasla Na ho
watan asali v watan iqamat
watan ki 2 qismein Hain
1) watan asli
2)watan iqamat
watan asli Woh jagah Hai jahan uski paidaish hai ya Uske Ghar ke log wahan rehte hain ya wahan sukunat Kar li ho watan iqamat woh jagah hai ki musafir ne 15 din ya usse zyada theharne Ka wahan irada kiya ho
watan ke mutalliq masail
1) ek shakhs ki do ya teen biwiyan alag alag shehron mein rehti Hain To woh sab shahar Uske watan asali Hain unmen se Jis shehar mein jaega wahan muqeem Hoga Puri namaz padhe pass watan asali tab batil hota Hai ke us jagah ko chhodkar dusri jagah watan ikhteyar karle khuwah un jagahon main 3 din ki musaafat Ka fasla ho ya Na ho neez watan asali Safar karne se ya dusri jagah watan iqamat banane se baatil nahin hota albatta watan iqamat wahan se Safar karne se batil ho jata hai
2) ek shakhs balig hai aur apni paidaish ki jagah mein rehta hai aur uske maan baap dusri jagah Kisi Aur maqan per rehte hain aur uski biwi bachche nahin hain to woh jagah uska watan Nahin jab tak wahan hamesha rehne ka irada Na Kar le Maslan talib e ilm baaz auqat Apne asali Ghar se dur Kisi shahar ke madarse mein padhne ke liye Rahaish ikhteyar kar lete hain to woh madrsa unka asali watan Na Hoga -watan iqamat mein agar koi talib e ilm 15 din se ziyada rahe to Puri namaz Ada Karni chahiye
3) ek jagah aadami ka watan asli Hai magar woh Apne asli watan ko chhod Kar Kisi dusri jagah watan banale aur apne pehle watan se koi talluq na rakhe to dusri jagah uska asli watan ban jaega aur jab pehli jagah jaaye to wahan namaz Qasar padhe agar pehli jagah bachche maujud hon to donon jagah asli watan Hai khuwah un donon jagahon ke darmiyaan musafat Safar ho ya Na ho
4) agar Apne Ghar ke logon ko lekar dusri jagah Chala Gaya aur pehli jagah makan aur asbab vagaira Baqi Hain To woh bhi watan asli hai
5) do char din raste mein kahin theharna pada lekin kuchh baten aisi ho jaati Hai ki Jana Nahin hota roz yeh niyat hoti hai ki aaj Jaun kal Jaun isi tarah15 din ya ek mahina ya usse bhi ziyada rehna ho Gaya lekin pure 15 din rehne ki Kabhi niyat Nahin hui tab bhi musafir rahega chahe jitne din isi tarah guzar jaen
6)balig ke walden Kisi shehar mein rehte Hain aur woh shehar uski jaaye wiladat nahin na Uske ahal wahan ho to woh jagah uske liye watan Nahin aise hi musafir jab watan asli mein pahunch gaya Safar khatm ho gaya agarche iqamat ki niyat na ki ho
7) musafir us waqt tak musafir Hai jab tak apni basti mein Na pahunch jaaye ya pure 15 din abadi mein theharne ki niyat na Kare
Namaz safar mein sunnat aur nafil padhna
musafir ko Safar ki halat mein farz namaz qasar Karni chahie yani 4 rakat farz ki jagah 2 rakat farz padhne chahie farz ke alawa tamam nafil aur sunnat Puri padhni chahie kyunki inmein qasar Nahin isliye nawafil aur sunnaten padhna hi behtar hai nawafil aur sunnaten chhod dena behtar Nahin kyunke unke chhod ne se sawab main Kami hogi Albatta sakht thakan ya Kisi Aur wajah se Kabhi chhut jaaye to koi haraj Nahin lekin padh lena behtar Hai !
Post a Comment