qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Qabr mein huzur sallallahu Alaihi wasllam ka didar aur zikre rasool ka fayda


Qabr mein huzur sallallahu Alaihi wasllam ka didar aur zikre rasool ka fayda

Zikre rasool ke beshumar fayde Hain un faidon mein se ek aur bhi azeem fayda padhiye ye Hadees to aapne aksar ulama e kiraam se suni hai ki mayyat ko qabr mein dafnaa Diya jata Hai To woh farishte jinka naam munkar nakeer hai imtihan lene ke liye qabar mein a jaate Hain aur unka pehla sawal yeh hota hai " man Rabbuka " bata Tera Rab kaun Hai musalman uska jawab yeh Deta Hai  "rabbi Allah " mere Rab Allah Hai phir woh puchhte Hain " maa dinoka " tumhara deen kya Hai musalman jawab deta hai "diniyal Islam" Mera din Islam hai Uske bad farishte phir huzur sallallahu Alaihi wasllam ke mutalliq daryaft karte Hain "Ma haazar Rajulul.lazi buesa fikum" Yani tum inke bare mein jo tum mein maboos kiye gaye kya kahate ho to musalman huzoor sallallahu  alaihi wsallam ki Surat e muqaddasa ko dekhkar uska jawab ye deta hai "hua rasulullah sallallahu Alaihi wasllam" woh to rasool Allah sallallahu alaihi wsallam hain (mishkat shareef s134)

Yahan per yeh baat bhi samajhte chalen ke farishte jab pehla sawal karte Hain ki tumhara Rab kaun hai aur musalman uska jawab de deta hai ki mera Rab Allah Hai To ISI ek jawab de dene per uski rihai Nahin ho jaati aur farishte yeh nahin kehte ki bus tumhari nijat ho gai ab aur koi sawal baaqi Nahin - Nahin balki farishte ek dusra sawal kar dete Hain ki bata Tera deen kya hai go ya Rab Rab kehne Wale to bahutere Hain magar yeh bhi to pata chale ke tumhara deen kaun sa hai agar tum musalman Nahin to tumhara rab rab kehna bekar Hai chunanche musalman phir dusre sawal ka bhi sahi jawab  de deta hai ki deen Mera Islam Hai To is jawab per bhi uski nijaat Nahin Hoti balki teesra ek Aur sawal Baqi Hai nijat to is sawal ke sahi jawab de dene per hai chunanche farishte phir huzoor sallallahu Alaihi wasllam ki taraf ishara Karke puchhte Hain ki bata inke mutalliq tu kya kehta Hai goya musalman kelane wale to bahut hain aur apne munh se musalman banne wale to bahut Hain magar sirf musalman kehla Lena kafi Nahin jab tak ke use zat e muqaddasa ki bhi pehchan hasil Na ho chunanche musalman jab huzoor sallallahu Alaihi wasallam ke mutaliq "hua rasulullah sallallahu sallam" keh Deta Hai To imtihan mein kamyab ho jata hai !

Zikre rasool ka fayda qabr mein

aaj ham bad nasibon ne zamana baad ki vajah se apni in gunahgaar aankhon se sarkar e do alam sallallahu Alaihi wasallam ki ziyarat Nahin ki aur aap jante Hain ki jise Kabhi Na Dekha ho use dekh kar pehchan lena ki yeh falan shakhs Hai bada mushkil Hai magar huzoor sallallahu Alaihi wasllam jinhen humne in aankhon se Kabhi Nahin Dekha woh jab qabr mein tashreef laenge To ham dekhte hi pukar uthenge "hua rasulullah sallallahu alaihi wasallam" yani woh to rasulullah sallallahu alaihi wasallam hain 

Qabr main jab huzur tashreef layenge to ham fauran pehchan lenge ke ye to mere aaqa v maula  sallallahu Alaihi wasallam Hain kya Aapne Kabhi Gaur Kiya ke ham dekhte hi Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ko pehchan jayenge "iski wajah kya Hai"  dekh ne ke bagair bhi ham Jo huzoor sallallahu sallam ko fauran pehchan jaenge aur pukar uthenge yeh to rasulullah sallallahu alaihi wasalam hain to iski wajah yahi hai ki musalman Is duniya mein zikre rasool ka sahaiq Raha mehfil e milad munaqqid karta karata Raha aur in mehfilon mein Apne aaqa v maula sallallahu alaihi wasallam ki seerat aur Surat ke Mubarak tazkire nazman(naat ki shakal main) v nasran(taqreer ki Surat main) sunta Raha milad Sharif ki mehfilon mein waaiz sunate rahe ke hamare huzoor ki Surat mubaraka aisi thi sirat mutahhira aisi thi to musalman in mehfil e milad ke zariye zikre rasool sun suna kar Apne Mehboob Aaqa  sallallahu alaihi wasallam ki Mubarak Surat ko khoob yad kar leta hai aur halat yeh Hoti Hai ki har waqt Mehboob ki yad taaza rehti hai aur Mehboob ki seerat aur Surat aankhon ke samne rehti hai aur jab marta hai aur qabr mein Sarkar tashreef laate Hain To dekhte hi jhath pehchan jata hai aur pukar uthta hai hua rasool Allah sallallahu alaihi wasallam woh to rasool Allah sallallahu alaihi wasallam hain aur qadmon mein jata hai

To musalman isi zikre rasool sallallahu alaihi wasallam ki badolat qabr mein Apne Mehboob sallallahu Alaihi wasllam ko fauran pehchan jayenge !

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.