milad e mustafa sallallahu alaihi wasallam ka saboot quran se
Milad Sharif
aur apne Rab Ki nematon ka Khoob Charcha karo (para 30 surah wadduha)
Subhan Allah Maloom Hua ki Allah Tala ki ata karda Nematon ka zaban v amal se khoob izhar v Charcha karna chahiye ke iska Khud quran hukm de raha hai aur yaqeen bil yaqeen ambiya Kiram v auliya Kiram Allah Tala ki bahut badi nematen hain aur khusus bil khusus nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Tala Ki Sabse Badi aur Azeem nemat Hain ki aap Sallallahu alahi wasallam ke zariye hi Hamen Iman Mila Quran Mila Rahman Mila to Jab aap Sallallahu Alaihi Wasallam Itni Badi nemat Hain To Quran ke hukm ke mutabiq Hamen aap Sallallahu alahi wasallam ki tashreef Awri ka Khoob Khoob Charcha karna chahiye yani Khushi Ka izhaar Karna chahiye chunanche Alhamdulillah Tamam Aashiqan e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Apne Pyare aaqa Sallallahu alahi wasallam ka Jashne wiladat Khoob Josh v kharosh se manate hain aur aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki wiladat ba saadat ka Khoob khoob Charcha karte hain waaz aur Bayan zikr wiladat Quran khawani v Darood khawani mahfil e zikr v Naat Langar Shirni Ka ahtemam karte hain Khoob charagan Karte Hain Sabz Jande Lagate Hain Pur Aman juloos nikaalte Hain Garz Jis Tarah bhi Charcha ho sakta hai apne Rab Ki nemat ka Charcha Karte Hain lihaza Jo Koi is Charche ka Inkar Kare aur Jashne wiladat manane se roke woh bedeen v bad baatin hai
Milad shareef
Aur Yad karo Jab esa Bin Mariyam Ne Kaha aye Bani Israel Mein Tumhari Taraf Allah ka bheja Hua Rasool Hoon Apne se pehle Nazil ki hui Kitab torait ki tasdeeq Karta hua aur un Aakhri Rasul ki aamad ki basharat Sunata Hua Jo Mere baad tashreef Layenge Unka Naam Ahmed Hai (Para 28 Surah saff )
Subhan Allah abhi aapne jis aayat mubarak ka tarjuma padha is aayat mubaraka Mein Hazrat esa alaihissalam ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka zikre wiladat Farma kar Milad Sharif Manaya aap is aayat par gaur karen to yeh Baat wazeh hoti hai ki esa alaihissalam Ne ye nahin farmaya ke Main Tumhen Ek Rasool ki khabar deta hun ya Mein Ek Rasool ke aane ka Elaan karta hun Kyunki Elaan aur Khabar acchi bhi hoti hai aur Buri bhi aur Chunke Nabi Karim Sallallahu alahi wasallam ki tashreef aawri Allah Tala ki nemat aur momineen ke liye Badi Khushi Ka Sabab hai isliye aap alaihissalam ne Irshad farmaya main Tumhen khushkhabri deta hun Ek Rasool ki Jinka Naam Ahmad Hoga chunanche Maloom Hua ke Allah Tala Ki nemat Khushi Manana Sunnat e ambiya Hai lihaza Pyare aaqa Sallallahu alahi wasallam ki wiladat Ki Khushi Manana kaare khair aur baaise ajro sawab hai aur jo Allah Tala ki nemat per Khushi Ka Izhar na Kare woh Bada Hi badnaseeb aur Mehroom Hai
Milad shareef
Wahi hai Jisne an padho mein unhi mein se Ek Rasool bheja ke un per Quran Ki aayaten padhte Hain aur unhen pak Karte Hain aur unhen Kitab Aur hikmet Ka ilm Aata farmate Hain (para 28 Surah Juma)
Is aayate taiyyaba se Maloom Hua ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasllam ki Tarif aur Tausif Ka Bayan Sunnat e ilaahi Hai isi ko Ham mahfil e zikre wiladat ya Majlis e Milad Sharif ke naam se Mausoom karte hain Alhamdulillah Aashiqane Rasool isi Sunnat e ilahiya per Amal karte hue mahfil e Milad ka ineqaad karte hain jismein Nabi Karim raoof o Rahim Aaqa Sallallahu alahi wasallam ki zaat o sifat khususiyaat v mojezaat aur wiladat Sharif ka bayan karte hain aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki shan qasaaid o Naat Sharif padhte Hain Yahi Quran Hakeem Ka Tariqa e kar hai
Milad shareef
Aur Yad karo Allah ka Ehsan Apne Upar aur woh ahad jo usne Tumse liya Jab ke tumne kaha Humne Suna aur Mana aur Allah se daro beshak Allah Dilon Ki Baat Janta Hai ( para 6 Surah Al maidah )
is Ayat e kareema se Maloom Hua Allah Ke Ahsanat Ko Yad karna aur un Ahsanat per uska shukr Ada karna Har Musalman ke liye lazim hai aur Allah Tala Ne Jo ehsanat ham per kiye unmen sabse bada Ahsan Pyare aaqa Sallallahu Alaihi wasllam Ki Tashreef Awri Hai Jinke Sabab Hamen Iman Mila quraan Mila Rahman Mila aap sallallahu alaihi wasallam ke Waseele se Hamen Jeene ka dhang Mila Pyar Mohabbat akhuwwat bhai chare Dil Joi khair khwahi ka jazba Mila Ahsan Murawwat rawadari hajat Rawai ka Shaoor Mila Allah ka ye kitna bada Ahsaan Hai Hum ummatiyon per ke Hamen Aise Kareem Aaqa Sallallahu alahi wasallam ka ummati Banaya to Jab yeh sabse bada Ahsaan farmaya to phir Kyon Na Us Din Ki Yad manai Jaaye aur us Din Ka shukr Ada kiya jaaye Jis Din yeh Ahsan Ham per Kiya Gaya aur Jiska Hamen quran Pak Mein hukm Diya Gaya chunanche Har Musalman ko chahiye ke Allah Tala ke Ahsan Apne Pyare aaqa Sallallahu Alaihi wasllam ka yaum e wiladat Manaen aur apne Rab ka Ahsan Apne Rab Ka Shukr Ada Karen aur shukrane mein mahfil v waaz o Byan zikr o Naat Munaqqid Karen nawafil padhen Roza rakhen khana khilayen Shirni taqseem Karen Al garz Jis Jis tarah ho sake shariat ke daire mein Rehte hue Apne Rab ke is azeem Ahsan Ko Yad Karen !
Post a Comment