qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

anger gussa ko control karne ka ilaaj


gussa aag hai jo khatrnak hai

 gussa ek bahut buri chiz hai jab aadmi ko gussa aata hai to woh apna hosh kho baithta hai use kuchh samajh mein Nahin aata Hai badon ki tameez bhul jata hai logo se kaise pesh aana hai woh bhul jata hai aur  aapane Dekha hoga ke gusse ki vajah se ladai jhagde aksar hote rehte Hain aur gusse ki hi vajah se bahut se aise Ghar Hain Jo aaj tabah Aur barbad ho chuke hain to aadami ko jab gussa aae to samajhdari se kam lete hue Apne gusse ko control Kare aur koshish karen ki uska gussa kafoor ho jaaye yani ke khatm ho jaaye isi main insan ki behtri hai aur bhalai hai insan ko fayda Hai aur agar woh gusse mein control nahin karta hai hai to ye uske liye bilkul hi fayde mand Nahin Hai balki nuqsan de hai aur jab aadami ko gussa aata hai to fir Jo Shaitan hota Hai to us aadami ke sath aisa khelta hai jaise bacche gend se khelte Hain matlab yah hai ki gussa wala insan Shaitan ke liye khilauna ban jata hai 

kehte Hain ki ek rahib  per Shaitan zahir hua Rahib ne puchha ke aulad e aadam ki kaun si aisi khaslat Yani aadat hai Jo unke gumrah karne mein madadgar sabit Hoti Hai Shaitan ne jawab Diya ke "gussa" jab insan gussa mein aa jaaye to main use Yun ulat.ta palat.ta hun Jaise ladke gend ko (tilbees iblees safa 40 )

 Is se hamen ye sabaq milta Hai ki gussa bahut buri chiz hai yeh Shaitan ke liye madadgar hai insan gusse mein a jaaye to gussa bhi chunke ek aag hai isliye aag aag ki taraf lapakti hai aur use Apne sath Mila leti Hai Aur is Tarah gussa mein aakar insan Shaitan ke hath mein Chala jata Hai 

hamare huzoor sallallahu alaihi wasallam ne isiliye farmaya Hai ke gussa Shaitan se hai aur Shaitan aag se aur aag Pani se bujhai jaati Hai bas Tum main se Kisi ko gussa Aaye To woh wazoo Kare (mishkat shareef)

 aur huzoor sallallahu alaihi wasallam farmate Hain ki jise gussa a jaaye to woh agar khada ho to baith jaaye fir bhi gussa na tale to zameen per let jaaye ( mishkat)

Gusse  par qabu pane ke liye gussa khatam karne ke liye huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Kitna pyara aur behtrin tariqa hamen bataya Hai ki jisko gussa Aaye to woh wazu karle ya khada hai to baith Jaye aur phir bhi gussa control Nahi ho raha hai to zameen per let jaaye

 

matlab yah hai ki gussa aag hai aur baith ya let jaane se mitti ke sath lag kar us aag ko bujha liya jaaye

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.