12 Rabi ul awwal khushiyon Ka din Hai sog ka Nahin
Assalamu alaikum hum ahle sunnat Wa jamaat har sal jab Rabi ul awwal Sharif ka mahina aata hai to us mahine ki 12 tarikh ko Nabi sallallahu Alaihi wasllam ka yaum e wiladat manate Hain aur Khushi Ka izhaar karte Hain yahan per ek baat Aur bhi samne aati hai ki 12 Rabi ul awwal wisaal ka din hai to 12 Rabi ul awwal ko Khushi kyon manai jaati Hai gam kyon Nahi manaya jata to isi Ka jawab mulahiza farmayen
Sawal (etraz)
12 Rabi ul awwal yom e wafat hai lihaza Khushi manana jaiz Nahin ?
*Jawab * 12 Rabi ul awwal khushiyon Ka din Hai sog ka Nahin
Aulan ye ke 12 Rabi ul awwal ko Nabi sallallahu Alaihi wasllam ke yaum e wafat hone ke bare mein jumla riwayat zaeef hain aur ilm taqweem ki rau se bhi 12 Rabi ul awwal ko rasool sallallahu alaihi wasallam ka yaum e wafat mumkin Nahin kyunki ahadees sahiha se do baten sabit hain
1) 10 hijri mein hajjatul wada main yaum e arfa 9 zawilhajj jumatul Mubarak tha
2) rasool sallallahu Alaihi wasallam ka wisal e mubarak somwar ke roz maah Rabi ul awwal mein hua
ab 9 zilhaj 10 hijri aur maah Rabi ul awwal ke darmiyaan maah moharram aur maah Safar do maah aate Hain lihaza zil.haj Muharram aur Safar teenon maah Jis Tarah bhi shumar kar len (teenon maah 30 din ke do maah 30 din ke ek 29 din Ka ek maah 30 din Ka 2 maah 29 din ke aur teenon maah 29 din ke ) kisi bhi Surat mein 12 rabi ul awwal peer ko Nahin ban Sakta
12 Rabi ul awwal 11 hijri mein bittarteeb itwar hafta juma jumerat mein se koi ek din ban Sakta Hai lihaza shareh Bukhari Hafiz ibn hajar asqalani ne 12 Rabi ul awwal yaum e wafat wali riwayat ko aqal aur naqal ke khilaf qarar diya hai aur do Rabi ul awwal yaum e wafat wali riwayat ko tarjih di hai
(Fathul.bari sharah Bukhari j8s130)
jab 12 Rabi ul awwal ko rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ki wafat sabit Nahi Hoti to aitraaz sire se khatm ho jata hai
aur agar bil farz maan bhi liya jaaye ke 12 Rabi ul awwal yaum e wafat Hai To bhi milad manane aur khushiyan manane se koi amr maane Nahin kyunki Bukhari aur Muslim Sameet mutaaddid kutub Hadees mein taqriban 10 sahaba aur sahabiyat se marvi hai (tarjuma e Hadees) hamen mana Kiya gaya hai ki ham shauhar ke siwa Kisi wafat pane wale per teen roz ke bad SOG manayen
is Hadees se sabit hai ke SOG manana wafat ke bad sirf 3 din jaiz hai lihaza har sal Nabi Akram sallallahu Alaihi wasllam ke wisal mubarak ke roz SOG manana sharan jaaiz Nahin albatta tashreef aawri ki Khushi manane ki Sharan koi had Nahin har sal jaaiz hai
juma ka din hazrat aadam alaihissalam ki khalqat(paidaish) Ka din hai aur juma ke roz hi aapka yaum e wafat bhi hai lekin shariat mein juma ko SOG manane ka hukm nahin diya Gaya balki juma ko Eid ka din qarar Diya Gaya Hai jaisa ke hadis e nabvi hai (tarjuma ) beshak yeh juma Eid ka din hai ise Allah tala ne musalmanon ke liye Eid ka din banaya hai (sunan ibn maja)
To Jis Tarah juma hazrat aadam alaihissalam ki khalqat(paidaish) aur wafat ka din hai lekin ab juma ke roz sirf Eid manana mashru hai aur SOG mamnu Hai isi Tarah 12 Rabi ul awwal ko yaum e wiladat ke sath agar bil.farz yaum e wisal maan bhi liya jaaye to sirf wiladat ki Khushi jaiz hogi aur SOG mamnu Hoga kyunki SOG ki muddat sirf 3 din hai neez sabit hua ke jumat ul Mubarak agar khalqat aadam alaihissalam ki wajah se yaum e Eid hai to 12 Rabi ul awwal wiladat Imam ul ambiya hazrat rahmatul.lilalameen sallallahu Alaihi wasllam ki wajah se ba darja aula Eid hai !
Post a Comment