qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

shadi ke liye kaisi aurat ka intekhab karna chahiye


shadi ke liye kaisi aurat ka intekhab karna chahiye 

 assalamu alaikum aaj kal aam taur se logon ka mizaj ye ban gaya hai ke woh shadi se pehle ladki ke waldain ki mali position dekhte hain is se itmenan hasil karne ke baad khandani halat maloom ki jati hai uske husn o khubsurti ka jaiza liya jata hai uski talimi liyaqat aur umoor e khana dari main maharat ki jankari li jati hai aur kuchh isi qism ka mizaj ladki walon ka hota hai ke woh ladke ke zameen o jaidad aur uska karobar dekhte hain uske jism ki saakhat chehra qad o qamat ke sath uski hunar mandi v fankari ki tafteesh karte hain 
mukhtasar ye ke dunyavi etbar se jo chizen zaroori hain woh ek ek karke badi bariki aur tasalli se dekhi jati hain aur agar kisi chiz ki talash nahi hoti hai to woh hai ladka aur ladki ki deen dari is taraf na to ladki walon ka khayal jata hai aur na hi ladke walon ka halanke ek musalman hone ki haisiyat se taqwa v taharat imandari v deen dari bunyad ki haisiyat rakhti hain kyonke digar tamam chizon ka asar waqti aur fani hai magar deen dari ka asar daimi aur lafani hai 
hadees paak main hai (urdu tarjuma) aurat se 4 wajhon se nikah kiya jata hai uske maal ki wajah se uske khandan ki wajah se uski khubsurti ke sabab aur uski deen dari dekh kar to tum deen dar ko tarjih do (bukhari shareef)
husn ojamal ke rasia aur maal o daulat ke dildada nojawano ko mutanabba karte huye sarkar e do aalam sallallahu alaihi wasallam irshad farmate hain aurton se unke husn ki wajah se shadi na karo unka husn unko tabahi main daal sakta hai aur na daulat ki bunyad par unse shadi karo kyonke unki daulat unhain sarkashi main mubtela kar sakti hai balke deendari ki bunyad par shadi kiya karo kaali kaluti deen daar kaneez tumhare liye ziyada behtar hai 
in ahadees e mubaraka se ye baat wazeh taur par maloom ho rahi hai aur ye sabit ho raha hai ke shadi ka meyar maal o daulat hasab o nasab husn o jamal nahi hona chahiye balke shadi ka asal meyar deen daari aur taqwa v taharat hai 
hamare buzurgon ne amli taur par iska namuna pesh karke hamen zindagi guzarne ka shaoor ataa kiya hai is par ek waqia pesh kar raha hoon  
ek hairat angez haqeeqat hazrat saeed ibn musayyab ek mash.hoor tabai muhaddis hain aapki sahabzadi badi nek teenat aur paak seerat thi uske zohd o wara ka shohra sunkar khalifa abdul.malik bin marwan apne ladke waleed ke liye rishta bheja magar hazrat ne khalifa e waqt ko saaf mana kar diya jiski wajah se khalifa aap se naraz rehne laga abdullah bin wada naam ke ek aadmi aksar aapki khidmat main aya karte the ek martaba aisa hua ke woh kai dino tak nahi aaye hazrat ne gair hazri ki wajah daryaft ki to unhon ne kaha huzur meri biwi ka inteqal ho gaya tha is liye hazir nahi ho saka aap ne farmaya tum ne hamen kyon nahi bataya
ham bhi janaze main shareek hote phir thodi der guftgu hoti rahi jab woh uth kar jane lage to aapne daryaft kiya kya dusri shadi karli unhon ne jawaban arz kiya huzur ab mujh jaise gareeb aadmi ko kaun ladki dega ab to main bilkul muflis v na dar ho gaya hun ab meri haisiyat do char paise ki bhi nahi rahi itna sunne ke baad usi majlis main aap ne  unki shadi apni usi ladki se kardi jiski khatir khalifa e waqt ne apne ladke ka paigam bheja tha aap ne apni taraf se rukhsati ka intezam kar ke sahabzadi ko rawana kiya 
doston pata chala ke deen dari ka khayal sab se pehle hona chahiye kyonke taqwa shar aur deen dar ladkiyan apne gharon ko namuna e jannat bana leti hain uske bar aks deeni shaoor se na aashna ladkiyan apne gharon ko maidan e karzar bana deti hain aur ye dhaki chhupi bat nahin balke aaj muaashra main aise khush gawar aur talkh tajurbat dekhe ja sakte hain

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.