Auqat namaz aur jadeed science
har mazhab ke perukaar mante hain ke insan jism aur ruh ka murakkab hai jism ki giza khurak aur ruh ki giza ibadat e ilahiya hai jis tarh ham din aur raat ke mukhtalif auqat main khana wagairah kha kar jism ki giza ka saman karte hain bilkul isi tarah Allah rabbul izzat ne mukhtalif auqat main namazen farz kar ke hamari ruh ki giza ka ehtemam kiya hai take jismani nasho numa ke sath sath ruh bhi quwwat pakde insan tabai taur par muharrik jism hai ye jamid aur sakit ki zid hai isliye iski sehat tandrusti aur baqa tehreek main hai aur namaz isi tehreek ka name hai Allah tala ne mamulat e zindagi aur uski zaruryat ko azl se abd tak jante aur pehchante huye namaz main uske liye auqat aur waqfe muqarrar kiye hain
NAMAZ E FAJAR namaz e fajar us waqt hoti hai jab raat dubne ko hoti hai aur us waqt aadmi raat ke sukun aur aaram ke bad uthta hai subah ki namaz ka bunyadi maqsad insan ko taharat aur safai ki taraf mail karna hai aur agar usne namaz ka wazu na kiya miswak na ki aur subah ka nashta kar liya to raat bhar jaraseem uske munh main phalte phulte rehne se becteriya ki ek khas qism raat sote waqt munh main paida ho jati hai agar woh giza luab thuk ya pani ke zariye andar chali jaye to maade ki suzash aanton ke wiram aur alsar ke khtrat badh jate hain
Namaz e zohar subah se dophar tak aadmi kasb maash ke liye sai v kosha rehta hai usi dauran gard o gubar dhul aur mitti se uska wasta padta rehta hai baaz auqat aise zehrile camical hawa ke zariye khule aaza
chehre aur hathon main lag jate hain jo agar ziyada der rahen to intehai deh sabit hote hain aisi kaifiyat main jab aadmi wazu karta hai to us par se tamam kasafaten aur thakan door ho jati hai aur us par suroor aur kaifiyat ki ek duniya roshan ho jati hai suraj ki tamazat khatm hone par jo zawal se shuru hoti hai zameen ke andar se ek gais kharij hoti hai ye gais is qadar zehrili hoti hai ke agar aadmi ke andar asar andaz ho jaye to woh qism qism ki bimariyon main mubtela kar deti hai dimagi nizam is qadar dirham birham ho jata hai ke aadmi pagal pan ka guman karne lagta hai jab koi banda zehni taur par ibadat main mashgool ho jata hai to use namaz ki noorani lehren khatarnak gais se mehfooz rakhti hain ab noorani lehron se ye zehrili gais be asar ho jati hai
Namaz e magrib aadmi amlan is baat ka shukr ada karta hai ke Allah tala ne rizq ata farmaya hai aur karobar se uski aur uske bachchon ki zaruryat puri hoti hain woh shukr ke jazbat se masroor khush o khurram aur pur kaif ho jata hai uske andar khaliq e kainat ki woh sifat mutaharrik ho
jati hain jinke zariye kainaat ki takhliq hoti hai jab woh apne ghar walon ke sath pur sukoon zehen ke sath mahu e guftgu hota hai to uske andar ki roshniyan (lehren) bachchon main barahe rast muntaqil hoti hain aur un roshniyon se aulad ke dil main maa baap ka ehtram aur waqar qaim hota hai bachche gair iradi taur par maa baap ki aadat ko tezi ke sath apne andar jazb karte hain aur unke andar maa baap ki mohabbat aur ishq ka jazba paida hota hai mukhtasar ye ke magrib ki namaz sahi taur par pabandi ke sath ada karne wale bande ki aulad sadat mand aur maa baap ki khadim hoti hai
Namaz e isha insan tabai taur par lalchi hai lihaza jab woh karobar duniya se farig ho kar ghar aata hai to khana khata hai aur lazzat e hiras main ab agar woh us khana
khane ke baad let jaye to mohlak imraz main mubtela ho jayega Allah tala ne use ek faidah dita hai ke sara din ka thaka hua zehen lekar agar soega to be sukoon hoga usko sukoon namaz main milega khane aur sukoon ke tamam nizam namaz ke zariye behtreen ho jata hai aur phir ye jab namaz padhne ke baad soega to jis tarah subah uth te hi fajar ki namaz ki warzish ki usi tarah sote waqt isha ki namaz ki mukammal aur taweel warzish usko sukoon aur aaram ki nind sulaegi ab to mahereen sone se qabl halki warzish par zor dete hain aur khud mahereen ka kehna hai ke namaz se badh kar sote waqt ki koi behtar warzish nahi (ba hawala namaz az shamsuddin azeemi )
Pabandi aur pilaning namaz padhne main ausatan sirf 15 ta 20 minute lagte hain is
tarah az khud gair shaoori taur par insan ko shaoori taur par insan ko waqt ki pabandi waqt ki qimat maloom hoti aur do namazon ke darmiyan jo waqfa namazi ko milta hai us main usko us main kya kaam anjam dena hota hai uska program zehen main murattab kar leta hai is tarah uski zindagi nahayat pakiza aur munazzam banti jati hai.!
Post a Comment