qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

islami mahino ke name aur fazilat

islami mahino ke name aur fazilat

assalamu alaikum islami saal mahe muharram se shuru hota hai aur mahe zul.hajj main khatm hota hai islami saal ke barah mahine hain aur har mahine ki anokhi aur nirali shan hai aaiye islami mahino ke name aur un mahino ki azmat batata chalu 
muharram  islami saal ka pehla mahina muharram hai aur ye mahina intehai azmat wala mahina hai nabi sallallahu alaihi wasallam ne ek hadees main farmaya ke jisne mahe muharram ki tazeem ki Allah tala use jannat main jagah ata farmayega aur dozakh se use nijat dega muharram ka chand nazar aate hi uski pehli raat gurub aaftab ke baad se shuru ho jati hai islami sham aur tareekh suraj dubne ke baad se hi shuru ho jati hai aur angrezi mahine main raat barah ke baad se shuru hoti hai tarikh lekin islam main suraj dubne ke baad se hi tareekh badal jati hai tamam musalmano ko ye baat zehen nashin kar leni chahiye aur mahe muharram hi woh mahina hai jiski 10 tareekh ko karbala ke maidan main hazrat imam husain ne shahadat ka jaam nosh farmaya 
safar  islami saal ka dusra mahina safar hai baaz log samajhte hain ke ismain bakasrat aafaton aur balaon ka nuzool hota hai to ye sab baten galat hain nabi sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya maahe safar main bimari nahusat aur bhoot wagairah ka nuzool nahi hota (muslim shareef) 
rabi ul awwal islami saal ka teesra mahina rabi ul awwal hai ye woh mubarak mahina hai jis main huzur nabi kareem sallallahu alaihi wsallam is duniya main ronaq afroz huye is mahine main miladun nabi sallallahu alaihi wasallam ke jalse aur julooson ka ineqaad jaaiz o mubaah aur sadha barkaat ka mojab hai aur jalsa v julooson main dil khol kar kharch karna israaf ya fuzool kharchi nahi balke Allah aur uske rasool ki raza ke husul ka sabab hai 
rabi us sani islami saal ka chautha mahina rabi us sani hai is mahine ki 11 tarikh huzur gaus e paak ke wisal ki tarikh hai isliye is mahine main badi gyarahvin shareef nehayat hi mohabbat o aqeedat se manai jati hai aur Allah tala uske manane walon ko apni be  shumar rehmaton se nawazta hai 
jamadi ul awwal islami saal ka panchwa mahina jamadi ul awwal hai aur ye mahina bhi badi fazilat wala hai 
jamadi us sani islami saal ka chhata mahina jamadi us saani hai is maahe mubarak main kasrat ke sath nawafil padhe ke bahut sawab hai 
rajab ul murajjab islami saal ka satwan mahina rajab hai aur char hurmat wale mahino main se ek ye mahina bhi hai hurmat wale mahine (rajab ziqada zilhajj aur muharram) is maahe mubark ki sattaisvin raat meraj ki raat hai is raat main nawafil padhna aur wazaif karna afzal hai aur sattaisvi ke din roze ka bada sawab hai 
shaban ul muazzam islami saal ka aathvan mahina shaban hai aur ye bahut hi barguzida mahina hai is mahine main huzur sallallahu alaihi wasallam aksar roza rakha karte the balke kabhi kabhi to pura mahina rozon main guzar diya karte the kisi ne kasrat ke sath roze rakhne ka sabab puchha to aap ne irshad farmaya is mahine main bandon ke aamal khususiyat ke sath rab kareem ki bargah main pesh hote hain aur main is baat ko pasand karta hun ke jab mere amal Allah ki bargah main pesh hon to maine roza rakha hua ho lihaza tamam musalmano ko mahe shaban main ziyada se ziyada roze rakhna chahiye aur khususan is mahine ki 14-15 tarikh ke roze to zaroor rakhna chahiye is maah e mubarak ki 15 tarikh ko shab e barat hai aur ye badi fazilat wali raat hai aur is raat ko Allah ki ibaadat aur tauba v astagfar main guzarni chahiye 
ramzan ul mubarak islami saal ka nawa mahina ramzan hai aur ye bahut hi azmat o barkat wala mahina hai is mah main nafil ka sawab farz ke barabar  aur ek farz ka sawab sattar farzon ke barabar milta hai is mahine ke roze farz hain aur raaton ko namaz e tarawih adaa ki jati hai jis main huffaz e kiram quraan padhte hain aur ye quran isi mahine main hi nazil kiya gaya hai isi mahine main woh mubarak raat aati hai jisko lailatul qadr kaha jata hai aur jiski ibadat hazar mahinon ki ibadat se ziyada behtar hai aur ye raat ramzan ke aakhri ashre main aati hai jamhoor mufasserin ki tasrih ke mutabiq ramzan ki 27 ki raat hoti hai 
shawwal ul mukarram islami saal ka daswan mahina shawwal hai aur ye mahina bhi badi shan o azmat wala hai is maah e mubarak ki pehli tarikh ko eid manai jati hai 
ziqadah islami saal ka gyarwah mahina ziqada hai aur ye mahina nahayat hurmat wala mahina hai bahut se log is mahine ko maazAllah bura samajhte hai aur ise khali mahina kehte hain ye galat hai 
zilhajja islami saal ka barahwan aur aakhri mahina zilhajja hai aur ye bhi hurmat wala mahina hai isi mubarak mahine ki 9 tarikh ko hajj aur 10 tarikh ko eid ul azha hoti hai aur ye dono musalmano ke nahayat muqaddas teyuhar  hain aur isi mahine ki das tarikh ko qurbani ki jati hai jo hazrat ibrahim alaihis salam ki sunnat hai aur huzur sallallahu alaihi wasallam ki ummat ke liye baqi rakhi gai hai 
nazreen maine islami mahino ke name bataya aur mukhtasar fazilat bataya bas main ye kehna chahunga ke har musalman par ye lazim hai ke woh khud bhi aur apne bachcho ko bhi islami mahino ke name yaad karaye aur unke fazail se bhi roshnas karaye 

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.