qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

huzur sallallahu alaihi wasallam se mohabbat


nabi sallallahu alaihi wasallam se mohabbat ka taqaza

assalamualaikum har momin musalman nabi kareem sallallahu alaihi wasallam se mohabbat karta hai aur huzur ki mohabbat jaan e imaan hai 
ham huzur sallallahu alaihi wasallam se mohabbat karte hain aur ek baat ye bhi samajh len ke mohabbat ka ek taqaza bhi hota aaiye isi bare main aur tafseel se padhte hain.
alamat e mohabbat e rasool sallallahu alaihi wasallam main se quran e kareem se mohabbat rakhna bhi hai kyonke huzur akram sallallahu alaihi wasallam Allah tala ki taraf se quran e kareem furqan e hameed laye jo kitab hidayat hai kitab ikhlaq o seerat hai hazrat aayesha siddiqa radiAllahu anha ne farmaya hai huzur sallallahu alaihi wasallam ka ikhlaq quran hai quran kareem ki tilawat karna us par amal karna usko samajhna us main gaur o tadabbur karna aur uske hudud ka qaim karna alamat e mohabbat main se hai 
hazrat sohail bin abdullah tastari rehmatullah alaih farmate hain ke Allah kareem se mohabbat ki nishani quran kareem se mohabbat rakhna hai aur quran kareem se mohabbat nabi kareem sallallahu alaihi wasallam se mohabbat ki alamat hai aur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam se mohabbat karne ki alamat sunnat se mohabbat karna hai aur sunnat se mohabbat karna aakhirat se mohabbat rakhna hai aur aakhirat se mohabbat duniya se bugz rakhna hai aur duniya se bugz rakhne ki alamat ye hai ke duniya main koi zakhira na kare bajaz is tausha ke jo aakhirat main kaam aaye 
dar haqeeqat Allah tala aur rasoolAllah ki mohabbat ka meyar o misdaq quran o hadees hai isliye ke mehboob ka kalam mehboob hota hai lekin afsos kalamullah ki mohabbat se ziyada lahu leab aur gane baje se mohabbat rakhi jaye halanke yahi fasad qalb aur kharabi batin ka nishan hai qoran kareem ki sot e husn se samat naseeb ho jaye to ziyadati iman aur taqwiyat e iman ke liye is se badh kar aur koi chiz nahi hai (tadabbur quran)
ahdees se mohabbat  nabi sallallahu alaihi wasallam ki tazeem main se ek amr ye bhi hai ke aap sallallahu alaihi wasallam ki hadees shareef se mohabbat ki jaye aur tazeem ki jaye hadees shareef padhne ya sunne ke liy gusl karna aur khushbu lagana mustahab hai jab hadees shareef padhi jaye to apni aawaz ko baland na karna chahiye balke dhimi kar dena chahiye jaisa ke hayat shareef main huzur sallallahu alaihi wasallam ke takallum ke waqt hua karta tha aur mustahab hai ke hadees shareef unchi jagah par baith kar padhi jaye 
imam malik aur adab jab log aap ke paas aate to khadma daulat khana se nikal kar un se daryaft kiya karti thi hadees shareef ke liye aayen hain ya masail fiqah ke liye agar woh kehte masail ke liye aaye hain to imam mosuf fauran bahar tashreef le aate agar woh kehte ke ham hadees shareef ke liye aaye hain to hazrat imam malik rehmatullah alaih gusl karte khushbu lagate phir libas tabdeel kar ke bahar nikalte aapke liye ek takht bichha rehta jis par baith kar aap riwayat hadees karte asna e rivayat majlis main ood jalaya jata ye takht sirf rivayat hadees ke liye rakha hua tha jab imam mosuf se iska sabab puchha gaya to farmaya gaya main chahta hun ke is tarah huzur sayyadul.mursaleen shafi il muznebin sallallahu alaihi wasallam ki hadees shareef ki tazeem karun hazrat ibn sirin tabai rehmatullah alaih baaz auqat hans padte lekin jab bhi unke samne hadees e mustafa sallallahu alaihi wasallam bayan ki gai to fauran mutawazo ho kar sar jhuka diya karte mazmoon ko ziyada lamba na karte huye bas aap ye samajh lijiye ke  aap sallallahu alaihi wasallam se mohabbat ki alamat ye hai aur taqaza ye hai ke woh tamam chizen jinki huzur sallallahu alaihi wasallam se nisbat hai unki tazeem v toqeer karna harmen sharifen main aap sallallahu alaihi wasallam ke mushahid v masakin ki tazeem karna ya woh chizen jo nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ke dast e karam se chhu gain hon ya huzur sallallahu alaihi wasallam ne unki marfat karai ho un sab ka ikram hona huzur sallallahu alaihi wasallam ki tazeem v takreem main dakhil hai aur un sab ki tazeem v takreem har musalman ke liye lazim v zaroori hai (shifa shareef )

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.