qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

har chiz ki zakat hoti hai aur badan ki zakat roza hai


Roza ke jismani v ruhani fawaid

assalamu alaikum roza kya hai roza subah sadiq se lekar gurub aaftab tak khane pine aur jima se ruke rehne ka naam roza hai ramzan ul mubarak ke roze farz hain 
Allah rabbul.izzat ka be panah fazl o ehsan hai ummat e muhammadiya par ke usne ramzan ul mubarak jaisa fazilat v barkat wala mahina ata farmaya huzur sallallahu alaihi wasallam ne ramzan ul mubarak ko sayyadush.shuhoor yani tamam islami mahino ka sardar  rehmat o magfirat aur jahannam se aazadi ka parwana dene wala mahina qarar diya ye woh mubarak mahina hai jis main rehmat e ilahi ki barishen jhama jham barasti hain aur unki barkaton se dilon ko taqwa nigahon ko haya aur khayalon ko pakizgi naseeb hoti hai 
roza woh mehboob ibadat hai jis main be shumar ruhani v jismani fawaid hain Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallan ne farmaya har chiz ki zakat hoti hai aur badan ki zakat roza hai yani maal ki zakat nikalne se maal paak o saaf aur choron se mehfooz ho jata hai aise hi roza dar roza rakhne se jismani etbar se taqatwar sehat mand aur bimariyon se mehfooz rehta hai 
jadid tibbi teqiqat ke mutabiq roze ka sab se aham jismani faidah ye hai ke us se maade ki islah hoti hai aaj medical scinces ke mahereen ne bhook ke zariye jismani aur dimagi imraz ka ilaj shuru kar diya hai kyonke bhook se hararat guzeri ko ek nai tawanai milti hai aur batni fuzlat saaf ho jate hain jo badan ki nasho numa aur badan ki parwarish ke liye kafi hain qurban jaiye muallim e kainat sallallahu alaihi wasallam ki nigah e basirat par ke maujuda scinces aaj jis haqeeqat ka pata de rahi hai aapne us haqeeqat ko 14 sau 50 saal pehle hi be naqab kar diya tha 
roze ke isi jismani faide ki taraf aap ne ishara farmaya hai roza rakho sehat yaab ho jaoge quran kareem main roze ka maqsad aur garz o gayat ye bayan ki gai hai ke roza taqwa v taharat tazkiya e nafs aur safai qalb ke husul ka moassar tareen zaria hai roza ek aisi ibadat hai jo nafsani khahishat ko khatm karke use control main rakhta hai aur jab insan apne nafs par qabu paleta hai to us se bahut kam gunahon ka sudur hota hai kyonki nafs hi woh shaitani quwwat hai jo insan ko bar bar masiyat ki dawat deta hai aur insan nafs ka gulam ban kar gunahon main mubtela ho jata hai lekin roza ke zariye jab nafsani khahishat ko tod diya jata hai to insan be hayai ka mujassama ban ne ke bajaye sharafat o haya ka pekar e jameel nazar aata hai 
jis tarah wazu aur gusl jism ki gilazat ko door karke use paak bana deta hai aise hi roza rooh ko paak karke aaine ki tarah saaf o shaffaf bana deta hai aur qalb ki aisi safai ho jati hai ke rozedar uske pakiza asrat ramzan ke ilawa dusre mahinon main bhi mehsus karte hain 
huzur sallallahu alaihi wasallam irshad farmate hain apne dilon ko bhook se roshan karo bhook aur pyas se apne nafs ka mujahida karo aur bhook ke zariye hamesha jannat ka darwaza khatkhatate raho be shak iska ajr Allah ki raah main jihad karne wale ajr ke barabar hai aur Allah ke nazdeek bhooke aur payase rehne se ziyada pasandida amal koi nahi aur aasman ke farishte us shakhs ke paas nahi aate jis ne apna pet bhara aur ibadat ki mithas khodi (mukashifatulqloob S59)
jaisa ke roze ke jismani v ruhani fawaid aapne padhe to roze ke fawaid aur samrat ke sabab kaha ja sakta hai ke roza baik waqt dawa bhi hai aur dua bhi .

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.