qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

12 rabi ul awwal special


12 rabi ul awwal shareef khushiyan aur ehteyaten

assalamu alaikum nazreen 12 rabi.ul.awwal woh mahina mubarak hai jiske aate hi musalmanane aalam main khushi ki lehar daur jati hai aur kyon na ho yahi woh mahina hai jis main mehboob e rabbul aalmeen ki jalwa gari hui yahi woh hasti hai jiske sadqe imaan mila deen mila quran mila namaz mili sab kuchh mila balke ye sari kainat ko Allah ne paida kiya to huzur ke sadqe yahi woh mahina hai jis main us hasti ki jalwa numai hui jiski mohabbat rab tala ki mohabbat aur jis se dushmani khuda se dushmani qarar paai ye hasti koi aur nahi balke hamare aur sare aalam ke mehboob huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam hain zahir hai aisi be nazeer zaat satuda sifat ki aamad aamad par khushiyan na manai jayen to kya kiya jaye gharon mehallon gali kuchon ilaqon sheron main chiragan na kiya jaye to kya kiya jaye parcham kushai jhanda bardari na ki jaye to kya kiya jaye ye sab kiya jaye balke dhoom dham se kiya jaye magar ye baaten pesh e nazar rakhi jaye ke adab ka daman hath se na chhute khushiyan manayen shariat ke dayre main rehkar  aaiye jo ham jhande wagairah lagate hain sarkar sallallahu alaihi wasallam ki aamad par to hame kya kya ehteyat karna chahiye 
12 rabiul awwal ko aashiqan e mustafa sallallahu alaihi wasallam apne makano dukano mehallon aur gali kuchon main jhande lagate hain aur sajate hain yaqeenan aisa karna jaaiz aur kaar e sawab hai aur apne ishq ka izhar karne ka behtreen zariya hai aaqa e do jahan sallallahu alaihi wasallam ki aamad par yaum e wiladat ki khushi main jhande nasab karna hazrat jibrail alaihis salam ki sunnat bhi hai ke jibrail alaihis salam ne huzur paak sallallahu alaihi wasallam ki wiladat ba sadat ke mauqe par teen jhande nasab kiye ek mashriq ,ain dusra magrib main aur teesra kabe ki chhat par (khasaisul.kubra)
albatta is mubarak amal main hamari janib se kuchh be ehteyaten ho jati hain jinki taraf hamen tawajjo ki zaroorat hai woh ye ke ham eid milad ki khushi main apne gharon wagairah main mukhtalif qism ki umdah umdah jhandiyan nasab karte hain un main bahut sari jhandiyon main harmain tayyebain ka naqsha kisi main gaus o khwaja raza ke mazaraat ki tasviren to kisi main kalmaat tayyebaat aur kisi main duaen wagairah likhe hote hain baaz auqat ye jhandiyan nikal kar kahi girte aur hamare paon tale aa jate hain jis se aise muqaddas maqamat ki be hurmati ka anjane main irtekaab ho jata hai halanke muqaddas maqamat aur tehrirat ki tazeem baja lane ka shariat main hukm hai jaisa ke bahare shariat main hai ke bichhone ya musalle par kuchh likha hua ho to usko istemaal karna na jaiz hai ye ibarat uski banawat main ho ya kadhi gai ho ya roshnaai se likhi ho agarche huroof mufarda likhe hon kyon ke huroof mufarda ka bhi ehtraam hai aksar dastarkhwan par ibarat likhi hoti hai aise dastarkhwanon ko istemaal main lana un par khana khana na chahiye baaz logon ke takiyon par ashaar likhe hote hain unka bhi istemaal na kiya jaye (bahare shariat s 420)
to is se saaf zahir ho gaya ke huroof mufarda ka bhi ehtraam hai isliye behtar aur munasib hai ke aise parcham aur jhande lagaye jaayen jin main muqaddas maqamat ya kalmaat naqsh na hon take agar gir jayen to itni badi be hurmati ka daag hamare paon main na lage 

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.