qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

YAUM E AASHURA KI WAJAH TASMIYA


YAUM E AASHURA KI WAJAH TASMIYA 

ASSALAMUALAIKUM 

doston main aaj ke is mazmoon main yaum e aashura ke bare main chand aham malumat batane wala hun ke yaum e aashura ko aashura ka din kyun kaha jata hai aur is din ke naam rakhne ka sabab kya hai 
doston aashura ki wajah tasmiya yani naam rakhne ka sabab main ulama ka ikhtelaf hai iski wajah mukhtalif taur par bayan ki gai hai aksar ulama ka qaul hai ke chunke ye muharram ka daswan din hota hai is liye isko aashura kaha gaya  baaz ka qaul hai ke Allah tala ne jo buzrugiyan dino ke etbar se ummat e muhammadiya ko ata farmai hain is main ye din daswin  buzurgi hai isi munasibat se isko aashura kehte hain baaz ulama ka kehna ke yaum e aashura ki wajah tasmiya ye hai ke Allah tala ne is roz das paigambaron par ek ek inayat khas farmai is wajah se isko yaum e aashura kaha jata hai yani aashura ka din aur ashura ke din ki badi fazilat v azmat hai ke is din ibadat v sadqah v khairat karne main bada sawab hai aur ashura ka din yani muharram ki 10 tarikh bade bade aham waqiat par mushtamil hai 
muharram ki das tarikh yani aashura ke din hazrat aadam alaihis.salam ki tauba qubul hui 
aur isi tarikh ko hazrat nooh alaihis.salam ki kashti judi pahad par thehri hazrat ibrahim hazrat musa hazrat esa alaihimus.salam isi tarikh ko paida huye 
aur aatish kada e namrood hazrat ibrahim alaihis.salam par isi tarikh ko thanda hua aur aap itni badi aag main mehfooz rahe 
aur hazrat yunus alaihis.salam ki qaum par se azab isi tarikh ko tala aur hazrat ayyub alaihis.salam ka marz isi tarikh ko door hua aur hazrat yaqub alaihis.salam ki basarat e shareefa isi tarikh ko lauti
aur hazrat yusuf alaihis.salam isi tarikh ko kuyen se nikale gaye aur hazrat sulaiman alaihis.salam isi tarikh ko azimush.shan hukumat ke malik bane aur isi tarikh ko hazrat musa alaihis.salam jadugaron ke muqable main kamyab huye aur hazrat imam husain radiAllahu anhu v digar hazrat ahle bait ne bhi isi tarikh yani yaum e aashura ko jam e shahadat nosh farmaya (ajaibul makhluqat s101)

to ye mukhtasar yaum e ashura ke bare main bataya mujhe ummid hai ke is ko padh kar apki malumat main izafa zaroor hua hoga 

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.