qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

WAZU SE SAGIRA AUR KABIRA GUNAH DHUL JATE HAIN

 WAZU SE SAGIRA AUR KABIRA GUNAH DHUL JATE HAIN 

ASSALAMU ALAIKUM   wazu kya hai wazu kise kehte hain  -namaz  ya quran e kareem ki tilawat se pehle muqarrara tareeqe se hath munh aur paon wagairah aur masah karna wazu kehlata hai 
isi tarah ye bhi bola jata hai ke wazu banana iska matlab hota hai namaz ya quran ki tilawat ke liye sharai tareeqe se hath paon aur munh aur munh wagairah dhona to ise wazu kaha jata hai 
wazu ki fazilat hadees shareef main bahut hai ke jab banda wazu karta hai to uske chhote bade gunah dhul jate hain nabi kareem sallahu alaihi wasallam ka irshad hai musalman banda jab wazu karta hai to kulli karne se munh ke gunah chhote hon ya bade sab dhul jate hain aur jab naak main pani dal kar saf karta hai to nak ke gunah chhote ho ya bade sab dhul jate hain aur jab chehra dhota hai to uske gunah dhul jate hain yahan tak ke palkon ke aur jab hath dhota hai to hathon ke gunah dhul jate hain yaha tak ke nakhuno ke aur jab sar ka masah karta hai to sar ke gunah yahan tak ke kano ke aur jab paon dhota hai to paon ke gunah chhote bade sab dhul jate hain yahan tak ke paon ke nakhuno ke huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne ye basharat e azeemah bayan kar ke farmaya is par magroor na ho jana ke gunahon ka irtekab shuru kar do ye samajhte huye ke wazu main sab dhul jayenge 
doston wazu banane se gunah dhul jate hain 
  jo Allah ke maqbool mehboob bande hote hain woh aankhon se gunah dhulte huye dekhte hain hazrat imam e aazam radi Allahu anhu jab logon ka wazu dekhte to un gunahon ko pehchan lete jo dhul kar pani ke sath girte aur juda juda jan lete ke ye dhowan gunah kabira ka hai ya sageera ka ya khilaf e aula ka isi tarah jaise koi ajsam ka mushahida karta hai ek martaba kufa ki jama masjid ke hauz par tashreef le gaye ek jawan wazu kar raha tha uska pani jo tapka imam e aazam ne us par nazar farmai aur jawan se farmaya aye mere bete maa baap ko eza dene se tauba kar usne fauran arz ki main Allah ki bargah main is se tauba karta hun ek aur shakhs ka dhowan dekh kar farmaya sharab pine se aur aalat lahu  v leab sun ne se tauba kar  woh bhi usi waqt taib ho gaya sayyadi abdul wahhab shorani rehmatullah alaih farmate hain ke hazrat ali khwas radi Allahu anhu gunahon ke dhowan juda juda pehchante ke ye haram ka hai ya makrooh ka ya khilaf e aula ka hazrat abdul wahhab shorani farmate hain ke main ek dafa hazrat ali khwas ke sath jama azhar ke haus par gaya hazrat ne istenja karna chaha magar kuchh dekh kar laut aaye maine sabab puchha farmaya abhi us main koi gunah kabira dho gaya hai aur maine us shakhs ko dekha tha jo hazrat se pehle yahan taharat kar ke  ja chuka tha main uske pichhe gaya aur us se bayan kiya ke hazrat yun farmate hain us ne kaha waqai hazrat ne sach farmaya mujh se zina waqe ho gaya tha phir hazrat ki khidmat main hazir ho kar taib ho gaya 
(mizanush-shariatul-kubra)
hame chahiye ke wazu banate rehna chahiye  aur koshish karen har waqt ba wazu rahen. 
0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.