qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

AASMAN O ZAMEEN KI PAIDAISH 6 DINO MAIN


AASMAN O ZAMEEN KI PAIDAISH 6 DINO MAIN

ASSALAMUALAIKUM 

main ek bahut hi pyari baat batane wala hu ke jis zameen par ham rehte hain jahan par hamare liye sari chiz maujood hain rehne ke liye makan khane ke liye giza kamane ke liye rozgar dukan karobar wagairah aur jab ham apni nigah uper karte hain to aasman hamare liye chhat ki surat main hain jis main suraj din ko apna jalwa bikherta hai to raat ko chand apni roshni se mahol ko khubsurat banata hai to isi zameen o aasman ki paidaish ke bare main batane wala hun ke kitne din main paida kiye gaye .

Allah tala ne saat aasman aur saat zameeno ko sirf 6 din main paida farmaya jaisa ke irshad e bari tala hai WOHI HAI JISNE aasman aur zameen chhah din main paida kiye phir arsh par istawa farmaya jaisa uski shan ke laiq hai (p27 s hadeed) 

Allah hai jis ne aasman aur zameen aur jo kuchh unke bich main hai 6 din main banaye phir arsh par istawa farmaya jaisa ke uski shan ke laiq hai (p21 s sajdah)

beshak tumhara rab Allah hai jis ne aasman aur zameen 6 din main banaye phir arsh par istawa farmaya jaisa ke uski shan ke laiq hai kaam ki tadbeer farmata hai(p11 s yunus)

beshak tumhara rab Allah hai jisne aasman aur zameen 6 din main banaye phir arsh par istawa farmaya jaisa uski shan ke laiq hai (p8 s eraf)

aur wahi hai jisne aasmano zameen ko 6 din main banaya aur uska arsh pani par tha (p12 s hood)

TAFSEER: 6 din se duniya ke 6 dino ki miqdar murad hai kyonke ye din us waqt to nahi the aaftab hi na tha jis se din hota hai SANE HAQIQI QADIR THA KE EK LAMHA YA US SE BHI KAM MAIN PAIDA FARMATA  LEKIN ITNE ARSA MAIN UNKI PAIDAISH FARMANA BA TAQAZA E HIKMAT HAI aur us se bandon ko apne kamon main tadreej yani aahistgi darja ba darja rafta rafta ikhteyar karne ka sabaq milta hai 

chunanche qadir e mutlaq ne makhlooq ki ibteda itwar ko farmai aur zameen ko itwar aur peer do dino main paida farmaya aur pahad darakht zira.at aur haiwanat ko mangal aur budh ke roz paida farmaya aur aasmano ko jumerat aur juma ke din paida farmaya (tafseer)

AASMAN AUR ZAMEEN KIS CHIZ SE BANAYE GAYE qadir e mutlaq ne ek johar paida farmaya aur us par Roab o jalal se nazar farmai pas wo pani ban gaya us pani se ek dhuan utha us se aasman banaye quran main hai aur 7 aasman banaye har aasman ke darmiyan 500 sal ki musafat hai aur isi pani se ek jhag uthi aur us jagah jama hui jahan ab kaba shareef hai phir usko charon taraf failaya gaya to zameen ban gai sabit hua ke kaba shareef markaz e aalam hai isi liye makka shareef ka naam ummul qura rakha gaya hai phir zameen par pahad rakhe gaye take woh harkat na kare pehla pahad zameen par abu qubes paida kiya gaya aur phir usko faila kar dusre pahad banaye gaye  hadees shareef main hai zameen ka pehla tukda baitullah shareef ki jagah rakha gaya aur phir usko failaya gaya aur pehla pahad jo Allah tala ne ruye zameen par rakha woh abu qubes hai aur phir us se aur pahad failaye gaye (jam e sageer )


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.