SUNNAT AUR HIKMAT 2
assalamu alaikum aajkal log khana ache se acha to khana chahte hain aur khate bhi hain lekin bahut si chizon ko nazar andaz kar dete hain jis ki wajah se khana hamare liye fayde ki jagah nuqsan wala ho jata hai aur sehat par jiska asar bahut padta hai aaiye jante hain ke hame khana khane se pehle aur khate waqt kis kis chiz ka khyal rakhna chahiy
khana khane ki sunnaton ke silsile main chand ek hikmat padhiye
KHANA KHANE SE PEHLE MISWAK KARNA SUNNAT HAI
dant mada main jane wali giza ko zaroorat ke mutabiq chaba kar hazam karne ke muqabil banate hain isliye danton ki safai bahut zaroori hai
danton aur munh ki khali jaghon main aise madde paida hote rehte hain jo sehat ke liye nuqsan deh hain danton ki safai na karne ki wajah se giza ke sath woh made milkar andar dakhil hote hain
jiski wajah se nizam hazmah main kharabi paida hoti hai aur insan mukhtalif bimariyon main mubtila ho jata hai
KHANE SE PEHLE HATHON KO DHONA AUR KULLI KARNA SUNNAT HAI
khane se pehle hath dhone ki wajah se hathon ki safai hoti hai jiski badault ek to barkat hoti hai aur dusra ye ke insan gande hath se khana khane ki wajah se jin pet ki bimariyon main mubtila hona hai un se bach jata hai
HATH DHOKAR KISI KAPDE SE NA PONCHHNA SUNNAT HAI
since ke mutabiq aisa karne se kapde par maujood jaraseem hath main muntaqil ho kar khane ke sath pet main chale jate hain aur pet ki kharabi ka sabab bante hain
KHANA BETH KAR KHANA SUNNAT HAI
tibbi lihaz se khade hokar khana khane se peth badh jata hai jiski wajah se kai aur bimariyan paida hoti hain
KHANA THANDA KARKE KHANA SUNNAT HAI
khana thanda karke khane se murad yani ziyada garam bhi na ho jis main se bhap nikal rahi ho aur bilkul thanda bhi na ho ke khane main lazzat kam ho jaye balke darmiyana kar ke khana chahiye
huzur akram sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke garam khane main barkat nahi hai
tibbi lihaz se jab garam khana made main jata hai to made main khoon jamna shuru ho jata hai jab ye amal bar bar hota hai to made main sujan paida hoti hai jiski wajah se bhook khatam ho jati hai bilkhusus nashta ke liye ji nahi chahta
kabhi kabhi qai (ulti) aur pet main jalan mehsus hoti hai aur aakhir alsar ki bimari paida hoti hai
TEEN UNGLIYON SE KHANA KHANA SUNNAT HAI (dayin hath ki beech wali ungli shadat wali ungli aur anguntha)
aisa karne se luqma chhota aur chabane main aasan hota hai jiski wjah se made par wazan nahi padta aur pet main kharabi paida nahi hoti
LUQME CHHOTE LENA AUR ZIYADA CHABA KAR KHANA SUNNAT HAI
ziyada chabane se giza main luaab achchhi tarah mil jata hai jis se hazam karne wale aaza ko hazam karne main aasani hoti hai aur insan pet ke dard aur deegar bimariyon se mehfooz ho jata hai
hazrat ibn uamar razi Allahu anhu se riwayat hai ke nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke qyamat ke din sabse ziyada bhuka woh shakhs hoga jo duniya main ziyadah pet bhar kar khata hai (tirmizi shareef)
puri duniya ke mahereen tibb is baat par muttafiq hain ke sehat us waqt kharab hona shuru hoti hai jab giza ke istemal main ehteyat na ki jaye aur badhti hui ziyada bimariyon ki ek wajah ziyada khana bhi hai ziyada khane ki wajah se
shoogar
gais
motapa
aur hazma main kharabi wagairah paida hoti hai (islam aur jadid tibb)
MEETHA KHANA BEECH MAI AUR NAMKEEN SHURU AUR AAKHIR MAIN KHANA SUNNAT HAI
jadid tibbi tehqiq ke mutabiq mithi chizen danton main lagi rehne ki wajah se danton ko kharab kar ke aakhir na kara bana deti hain lekin agar mithi chizon ke baad namkeen khya jaye to
danton aur masudhon par laga hua mithas ka asar zail ho jata hai aur dant mehfooz rehte hain
KHANA KHATE WAQT PANI BEECH MAIN PINA SUNNAT HAI
tibbi usool ke mutabiq khane ke aakhir main pani pine se ek to pet bada ho jata hai dusra ye ke hamara madah pehle pani jazb karta hai phir khana hazam karta hai isi liye aakhir main pani pine se hamara madah khna hazam karne ke bajaye
pani jazb karne main lag jata hai natijatan bad,hazmi aur qabz ki takleef paida hoti hai
Post a Comment