MAA BAAP AUR BACHCHE KI PARWARISH
assalamu alaikum aajkal ye aam baat hai ke aulad apne maa baap ka kaha nahi manti hai balke nafarmani
main bhi aage hai aur maa baap ka adab badon ka adab jaan pehchan rishtedaron se suluk kaisa karna chahiye
ye sab pata nahi hai wagairah in sab ki wajah islami taleemat se doori hai aur kahi na kahi maa baap ki bhi gaflat hai
ke hamne apni aulad ko islami taleemat se roshnas nahi karaya aur na hi unki islami ke ahkam ke mutabiq
unki tarbiyat kar paye nek v farmabardar aulad achhe ikhlaq wali aulad aur jis aulad ki aadaten achchhi hon
to sab unko pasand karte hain aur pyar bhi karte hain aisi aulad maa baap ka naam roshan bhi karti hain
aur jis samaj mohalle main rehti hain dusron ke liye misal banti hain aaiye kuchh baten aulad ki tarbiyat ke
talluq se padhte hain aur in baton par amal karke aur aulad ko sikhakar in baton par paband banayen take
hamari aulad aage chalkar farmanbardar aur achchhi aadaton wali bane aur khud bhi kamyab bane hamara bhi naam roshan kare
AADAT ye do tarah ki hoti hai ek achhi aadat dusri buri aadat
achchhi aadat kise kehte hain to jo aadat deen e islam ke ahkam aur uski taleemat ke mutabiq hai
woh aadat achchhi hai aur buri aadat woh hai jo deen e islam ke ahkam aur taleemat ke khilaf hai
woh aadat buri hai
maa baap ko chahiye ke apne bachon ko aulad ko bachpan se hi aur khas tawajjo ke sath ye baten sikhani chahiye
namaz padhna quran paak padhna maa baap ki baat manna chahiye maa baap aur badon ke sath adab se baat karna chahiye
bade behan bhaiyon ki izzat aur chhoton se pyar karna hamesha sach bolna jhoot hargiz na bolna khana khane se pehle
hath dhona aur dua padhna khane ka bartan saaf karna chhote chhote luqmah chaba chaba kar khana
sone se pehle dua padhna subah jaldi uth jana ghar aate jate waqt salam karna ghar aane wale mehmano ko salam karna
achhe bachon ko dost banana buro ki sangat se door rehna aapas main ladai jhagda na karna kisi ki burai na karna kisi ko gali na
dena chori na karna ijazat ke bagair kisi ki chiz istemal na karna wagairah wagairah
jab maa baap aulad ki tarbiyat is andaz se karegi to yaqeenan woh aulad badi hokar farmabardar aur namazi
aur nek banegi,
Post a Comment