Sunnat aur hikmat 1
- Allah Tala ne Insan ko Jin badi badi nematon se nawaza hai unmen se sehat Ek badi nemat hai Jiski Qadar karna Ham per Lazim hai aur Agar Hamen sehat ki hifazat karni hai to Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi wasllam ki sunnaton per amal karna Hoga jisse na sirf sehat durust Rahegi balke Allah Tala aur uske Habib Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Razi Honge Aur zahiri v batini bimariyon se shifayabi ke sath sath nafs ki pakizgi bhi hasil hogi Is Duniya Mein jitne bhi kam kiye Jaate Hain unko Aam aadami apni Marzi aur kheyal ke mutabik Kisi Na Kisi tarike se Aada karta hai Magar Ham Musalman chunke Huzoor Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasllam ke ummati aur Gulam Hain Hamari bhalai behtari khushnasibi aur Barkat ISI mein hai ki Ham Apne kamon ko aaqa Mola Sallallahu Alaihi wasllam ki sunnaton ke mutabiq Ada Karen aap Sallallahu Alaihi wasllam ki Har EK Sunnat mein Koi Na Koi hikmat maujud Hai aaiye sunnat aur hikmat aur sunnat ke fayede jante hain Allah Tala ki badi nematon main se Pani Ek nemat Hai Jis se Har jandar Ke Jindagi Ka daromadar Hai sabse pahle Pani Peene ki Chand sunnaton Ke tibbi fawaid mulahiza farmayenPani baith kar pina Sunnat haitib ke maherin ka muttafiqa faisla hai ke ziyada tar ghutnon Ka Aur jodon Ka Dard Khade hokar Pani Peene ki wajah se hota hai Iske alava Khade hokar Pani Peene se ya khana khane se pet badhta Hai Jo Ek Bimari Se Kam NahinPani Dekh Kar Pina sunnat haiIs mein yah hikmat hai ki agar is Pani Mein insani sehat ko nuksan Dene Wali Koi chiz Hogi to wah Nazar a Jayegi aur Insan nuksan Deh pani Peene se bach JayegaPani Chus kar Pina Sunnat haiismein yah hikmat Hai Ki pet Mein gas ki taklif paida na Hogi aur Pyas bujh JayegiHazrat abu qatada radi Allahu Tala anhu se riwayat hai ke aaqa v maula l Sallallahu Alaihi Wasallam ne bartan Mein Sans Lene se Mana farmaya hai( Bukhari Sharif Muslim sharif)Since ke mutabiq Ham Jo sans Bahar nikalte Hain usmein carbon Dai oxide gas hoti hai bartan Mein Saans Lene Ki wajah se yah gas Pani Mein Shamil hokar pet Mein dakhil hoti hai jisse pet ki takaleef Paida hoti haiHazrat abu saeed khudri radiAllahu anhu se riwayat hai ke aap Sallallahu Alaihi sallam ne khane Peene ki chizon mein phunk Marne se mana farmaya(tirmizi shareef )ismein yah hikmat hai ke Phoonk Marne Se kharab aur martoob Hawa kharij hokar pet mein pani ke sath dakhil hoti hai aur Bimari ka sabab banti haiHazrat Umar Razi Allahu Tala anho farmate Hain nabi Sallallahu alaihi wsallam Ne hamen bartan Mein Is Tarah muh dalne Se mana farmaya Jis Tarah kutta dalta hai( ibMaja) Jadid tib ke mutabik Is Tarah Pani Peene Se Dil aur Seene Mein Dard Paida Hota Hai Aap Sallallahu alaihi wsallam Ne mana farmaya Hai Aise bartan Mein Pani Peene se jo raat ke Waqt Khula Rakha gaya ho
ismein yah hikmat hai ke Khule bartan Mein Raat Ke Waqt koi bhi zehreela Janwar Apna Asar Chhod sakta hai isliye Agar ham is bartan ko istemal Karenge to nuqsan pahuchne ka andesha hai
Doston ham nabi sallallahu alaihi wasallam ki sunnaton par amal karen to bahut se fayde hasil ho aur nuqsan se bhi bache rahenge
Post a Comment