SAFAI KO AHMIYAT DEN
ASSALAMU ALAIKUM SAAF SAFAI PAAKI KO ISLAM NE AADHA IMAN
BATAYA HAI ISI SE SAFAI AUR PAKIZGI KI AHMIYAT MALOOM HO JATI HAI HAME CHAHIYE
KHUD SAAF SUTHRA RAHE AUR BACHHO KO BHI
SAAF SUTHRAI KI TALQEEN KARTE RAHEN
Huzur Sarkar do jahan sallallahu alaihi wasallam ka Irshad mubarak
hai ALLAH PAAK HAI PAKI PASAND FARMATA HAI PAKIZA HAI PAKIZGI PASAND FARMATA
HAI (Tirmizi 4/363)
Pata chala Allah paak aise bande ko pasand fermata hai jo
apna dil dimag jism aur libas paak o saaf rakhta hai hame bhi saaf safai ka
khayal rakhna chahiye aur bachchon ko bhi iski taleemat dena chahiye maslan ye
taleem do ke apne dil main kisi musalman ke baare main bure khayalat ko jagah
na den dil main Allah aur uske payare Rasool sallallahu alaihi wasallam ki
mohabbat rakhi jaye bachcho ko ye bhi taleem do apna jism kapde bistar baig
wagairahhar chiz ki safai suthrai ki taraf dheyan diya jaye bachchon ko ye bhi bataya jaye aisa koi khel
na khelo jis main kapde ya badan ganda hone ka khatra ho khana khayen to
ehteyat se khana kapdon main na gire aur na hi khane ke baad hath kapdon main
ponchhe bachchon ko ye bhi bataen badan ke saf suthra rehne ka ek tareeqah ye hai ke rozana nahane ki koshish karen agar mosam
iski ijazat na de to ek do din chhod kar nahaen
ye bhi taleem den ke agar bahar khelne jayen to wapas aakar aur khana
khane se pehle aur baad main zaroor hath munh dhoen dant bhi rozana saaf karen
ALLAH PAAK HAMEN HAR LIHAZ SE SAAF SUTHRA BANNE KI TAUFIQ
ATA FARMAE
AAMIN
Post a Comment