qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

GAIB KYA HAI

GAIB KYA HAI


ASSALAMU ALAIKUM HAM AHLESUNNAT HAIN AUR HAMARA AQEEDAH V IMAAN HAI KE ALLAH KI ATA SE NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM 
GAIB JANTE HAIN GAIB KYA HAI KISE KEHTE HAIN PADHIYE IS POST MAIN

gaib se murad woh chizen hain jo hawas aur badahat aqal ki pahunch se bala tar hon 
jaise zat bari tala Allah tala ki wahi malaika jannat v dozakh aur qabr ka jannat ka bag ya dozakh ka garha banna wagairah.
Allah tala ki digar sifat ki tarah ilm gaib bhi Allah tala ki zati sifat hai 
aur Allah tala ki ata ke bagair ilm e gaib kisi ko hasil nahi hota 
jab huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ke bare main kaha jata hai ke aap sallallahu alaihi wasallam 
dana e goyoob hain to is se murad atai ilm e gaib hota hai 
quran main hai Allah tala apne gaib par kisi ko musallat nahi karta ma siwae apne pasandida rasool ke (surah jin)
is se huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ke liye atai ilm e gaib ka saboot azhar minash shams hai 
aur tibrani shareef kanzulumal ki hadees main hai 
be shak Allah tala ne duniya ko mere samne rakh diya hai main use qyamat tak jo kuchh is main hone wala hai ko
is tarah dekh raha hun jaisa ke apni hatheli ko. 

AUR KOI GAIB KYA TUM SE NIHA HO BHALA
JAB NA KHUDA HI CHHUPA TUM PE KARODON DAROOD
0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.