qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

musalmani kya hai


log aasan samajhte hain musalman hona

musalmani kya hai musalmani kya hai hai aur musalman kaun yah ek aisa sawal hai hai jise sunkar har insan hairan ho jata hai Sahib e ilm aur ahle Danish batate Hain ki musalman aur musalmani main bada fark hai ek shaks ne kalma padha aur Islam qubool Kar liya magar musalmani usmein use waqt aaegi jab Uske Amal aur afal saleh aur acche honge agar uski roz marra ki zindagi ke mamulat iska lenden uska karobaar aur uski mulazimat islami qawanin ke mutabik Nahin to wah Islam qabool karne ke bawjud bhi fareb Kari bad,diyanati aur kizb byani se Kam leta hai wah musalman to zarur hai magar musalmani ke awsaf aur musalmani ka johar Kamil abhi usmein paida Nahin hua woh musalman hone ke bawjud ahkam e rabbani Ka pairokar Nahin balki sirf naam Ka musalman hai musalmani kya hai musalmani naam hai afal o insaaf Ka musalmani naam hai huquq ki adaigi ka musalmani ye hai ki samaj mein Bhai chara qaim kiya jaaye musalmani insano ke alawa janwaron se bhi mohabbat aur pyar Karne aur unke huquq ada karne ka naam hai musalmani ka paband musalman in mehnat kash janwaron per itna hi bojh dalta hai jitna woh aasani se utha sake kyunki Allah tala ka bhi yahi usool hai ke tarjuma Kisi Jaan ko uski takat se badhkar taklif na di jaaye musalmani ilm dosti ka naam hai musalmani bimaron ki eyadat garibon ki khidmat be saharon ki madad karne ka naam hai pahle ke musalman har jagah har field mein kamyab v Kamran nazar aate Hain aur aaj ham musalman zalil o khwar nazar aate Hain iski wajah hai hamare andar musalmani awsaf musalmani johar nahin hain Allah se dua hai ki hamare andar musalmani awsaf aur musalmani johar paida ho jaaye aur ham sirf naam ke hi musalman Nahin rahe bal ke kam ke bhi musalman ban jaen
0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.