Mohabbat ki Misal
Assalamu alaikum har
musalman ki ye tamanna hai ke ek baar zaroor huzur ke roza e mubarak ki ziyart
ho jaye aur kyon na ho ke hamare imaan ki jaan nabi sallallahu alaihi wasallam
ki mohabbat hai aaiye isi mohabbat ka ek be misal waqia masjid e nabvi ke tameer
ke tallauq se padhte hain
Log taj mahal ko
mohabbat ki nishani qarar dete hain magar yaqeen karen ke usmani daur main
masjid e nabvi sallallahu alaihi wasallam ki tameer tameerat ki duniya main
mohabbat aur aqeedat ki meraj hai zara padhiye aur apne dilon ko ishq nabi
sallallahu alaihi wasallam se munawwar karen turkon ne jab masjid e nabvi ki
tameer ka irada kiya to unhon ne apni wasi v areez riyasat main ilan kiya ke
unhain imarat sazi ke mutalliq funoon ke mahereen ki darkar hain ilan karne ki
der thi ke har ilm ke mane huye logon ne apni khidmat pesh ki sultan ke hukm se
istambul ke bahar ek shehar basaya gaya jis main atraf aalam se aane wale
mahereen ko alag alag mehlon main basaya
gaya uske baad aqeedat aur hairat ka aisa baab shuru hua jiski nazeer milna
mushkil hai khalifa e waqt jo duniya ka sabse bada farwarawa tha shobe ke mahir
ko takeed ki ke apne zehan tareen bache ko apna fan is tarah sikhaye ke use
yakta v be misal karde isi asna main turk hukumat us bache ko hafiz e quran aur
shehsawar banayegi duniya ki tareekh ka yeh ajeeb v gareeb mansuba kai saal
jari raha 25 saal baad nawjawano ki aisi jama,t tyar hui jo na sirf apne shobe
main yakta e rozgar the balke har shakhs hafiz e quran aur ba amal musalman bhi
tha ye qreeb 500 log the isi dauran turkon ne pat,tharon ki nai kane daryaft ki
naye janglon se lakdiyan katwai takhte hasil kiye gaye aur shishe ka saman
beham pahunchaya gaya ye sara saman nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ke
shehar pahunchaya gaya to adab ka ye aalam tha ke use rakhne ke liye madeena
munawwara se door ek basti basai gai take shor se huzur akram sallallahu alaihi
wasallam ki bargah ki be adbi aur madeena munawwara ka mahaul kharab na ho nabi
sallallahu alaihi wasallam ke adab ki wajah se unhain hukm tha kisi kate
pat,ther ko apni jagah bithane ke liye chot lagane ki zaroorat pesh aaye to
mote kapde ko pat,ther par the ba the yani kai bar fold kar ke rakhen phir
lakdi ke hathode se aahista aahista chot lagayen take aawaz paida na ho aur
agar tarmeem ki zaroorat ho to use wapas usi basti bheja jaye wahan use kaat
kar durust kiya jaye mahereen ko hukm tha ke har shakhs kaam ke dauran ba wazu
rahe aur darood shareef aur tilawat e quraan main mshgool rahe hujra e mubarak
ki jaliyon ko kapde se lapet diya gaya ke gard gubar andar roza paak main andar
na jaye stoon lagaye gaye ke riyaz ul jannah aur roza e paak par mitti na gire
ye kaam pandrah saal tak chalta raha aur tareekh aalam gawah hai aisi mohabbat
aisi aqeedat se koi tameer na kabhi pehle hui aur na kabhi baad mai hogi
Post a Comment