AAIYE AAB E ZAMZAM KE BARE MAIN JANE
Assalamu
alaikum aaiye kuchh khubiyan aab e zamzam ke bare main bata
ta hun aap sabhi ne to aab e zamzam ke bare main suna hoga zamzam ka pani bahut
hi Mubarak hai ba barkat hai aab ka mani pani hota hai yani zam zam ka pani aur
ye hazrat ismail alaihis,salam ki aidiyon ki barkat se jari hua hadees shareef
main aab e zamzam ki bahut fazilat aai hai aab e zamzam usi maqsad ke liye hai jiske
liye use piya jaye (ibn maja) zameen par sab se behtreen paani aab e zamzam hai
(majmauz,zawaid) aab e zamzam ka kuan masjid e haram main khana e kaba ke
junoob mashriq main taqriban 21 miter ke fasle par the khane main waqe hai har ghanta
main zamzam ka pani 68 hazar 400 sau liter nikala ja raha hai aur masjid e
haram se sadhe char k.m.door ek kar khane main har din 2 lakh gelan zamzam ka
pani jama kiya jata hai zamzam ka kuan aaj tak sukha nahi us main namkiyat ki
miqdar hamesha barabar rehti hai dusre kuan wagairah main kai wagairah jam jati
hai aur jaraseem v deegar kharabiyan paida ho jati hain magar zamzam ka kuan in
tamam kharabiyon se paak hai jis pani par sabse ziyada teqiq ki gai hai who zamzam
ka pani hai aur ek tehqiq ke mutabiq zamzam ke pani ko sabse purana chashmah
qarar diya gaya hai zamzam ke pani ke bare main nabi sallallahu alaihi wasallam
ne farmaya zamzam ba taure khana giza aur bimari ke liye shifa hai (musnad
bazar) aap sallallahu alaihi wasallam zamzam ke pani ko bartan main daal lete
aur use marizon par chhidka karte aur unhain pilaya karte the (Tarikh e Kabir)
aur zamzam ke talluq se alahazrat
rehmatullah alahi ka bhi farman padhte chalen aala hazrat farmate hain
zamzam shareef ka ek muajzah ye bhi hai ke har waqt maza badalta rehta hai kisi
waqt kuchh khara pan kisi waqt nahayat mitha aur agar raat 2 baje piya jaye to
taza doha hua gaai ka khalis dudh maloom hota hai (malfuzatealahazrat s435)
akhir main zamzam ke pine ke jo aadab hain who bhi samat karen zamzam pani
khade hokar piyen bismillah padh kar piyen pine ke baad alhamduliiah kahen pet
bahr kar piyen aur bhi bahut si fazilat aur khususiyat hain zamzam pani ki
maine mukhtasar likha hai
Post a Comment