qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Aakhirat ki fikar

Fikr e Akhirat

dosto aaj ham is duniya main masroof ho gaye hain aur aakhirat ko bhula bethe hain jaan lijiye ke ye duniya fani hai aur ek din ham sab ko yahan se jana hai to aqalmandi yahi hai ke ham aakhirat ki tayyari karen imam gazali ka farman padhiye aur iman taza kijiye

imam gazali rehmatullah alaih farmate hain ke ek badshah ka bada bag tha jiske kai hisse the usne ek aadmi ko bulaya aur uske hath main tokri thamadi aur kaha ke mere bag main dakhil ho jao aur behtreen phalon se tokri bhar lado bada inam milega magar shart ye hai ke jab andar se guzar aa jao to tumhain do barah wapas jane ki ijazat nahi hogi usne kaha chalo ye to koi badi baat nahi woh lekar us tokri ko chal pada ek taraf se darwaze maindakhil hua dekha ke uske andar phal hain magar pasand na aaye agle darja main dakhil hua yaha phal pehle se behtar the sochne laga kuchh tod lun kehne laga agle darja se tod lunga phal yahan bhi kuchh behtar the phir agle darja main bahut hi behtar the aur us se agle wale darja main bahut hi behtreen the yahan dil main kuchh khyal aaya ke yahan kuchh to phal tod lun phir sochne laga aage sabse behtar phal todunga jab agle aur aakhri darja par dakhil hua to kya dekhta hai ke wahan par kisi bhi darakht par phal nahi hain afsos karne laga ke aye kash maine pehle darja se phal tode hote to aaj meri tokri khali na hoti ab main badshah ko kya munh dikhaunga imam gazali rehmatullah alaih farmate hain aye dost badshah Allah rabbul izzat ki misal ki manind hai aur insan jo bag main ja raha hai woh teri misal hai aur tokri se murad tera nama e aamal hai zindgi ki misal bag ki manind hai aur uske mukhtalif hisse teri zindagi ke har din ke manind hain ab tujhe ab tujhe har din main nekiyon ke phal todne ka hukm diya gaya lekin tu roz sochta hai ke main kal se nek ban jaunga yani agle darja se phal todunga agle darje se phal todunga tera agla din na aa sakega aur tujhe isi din Allah ke huzur jana padega sab that pada reh jayega jab laad chalega banjara khade pair chal dena padega Allah ham sabko aakhirat ki puri puri tayyari karne ki taufiq de aamin

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.