HUZUR GAUS E AAZAM RAZIALLAHU ANHU KA ILM
assalamu alaikum
Allah ne auliya e kiram ko bahut taqat v quwwat shan o azmat ata farmai hai aur ikhteyarat ataa farmaye hain unhi auliya e kram main se
gaus e pak hain jinko sab musalman bade peer ke naam se jante hain aap paidaishi wali hain aur aapka mazar mubarak bagdad shareef main hai
aaiye gaus paak ka ek waqia padhiye aur iman taza kijiye
ek martaba huzur gaus e aazam raziAllahu anhu ne farmaya agar meri zuban par shariyat ki rok na ho to tunm apne apne gharon main jo jo kuchh khate
aur jo jo kuchh jama rakhte ho main un sabki tumhain khabar de dun tum sab mere samne un kanch ki botalon ki manind ho jinka bahar bhi nazar aata hai
aur jo kuchh un botalon ke andar haiwoh bhi dikhai deta hai
SABAQ.
huzur gaus e aazam raziAllahu anhu ka ilm is qadar wasi tha ki zahir v batin ki koi chiz un se chhupi hui nahi rahi phir agar woh shakhs jo ek botal ka
zahir bhi bagair ainak ke na dekh sake un Allah walon ke ilm par etraz karne lage to kis qadar be khabar hai ye bhi maloom hua ki huzur gaus eppak
ka yeh kamal e ilm huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ki mohabbat v pervi ki badaulat hai
phir jis zaat ke gulam ka is qadar wasi ilm haito khud us zat e girami ke uloom ka kya aalam hoga
Post a Comment