qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

WISAL NABVI KE BAAD ISTEGASA


WISAL NABVI KE BAAD ISTEGASA 

assalamu alaikum baad wisal Allah ke mehboob bando se madad chahna unko pukarna shirk nahi sunnat e sahaba hai


 ek martaba daur e farooqi main sakht ibtela aur qehat ka waqt aa gaya ek sahabi (hazrat bilal bin haris almazni)radiAllahu anhu bargah e nabvi sallallahu alaihi wasallam main hazir huye qabr mubarak par jakar arz kiye ya rasoolAllah sallahu alaihi wasallam apni ummat ke liye barish talab farmaiye woh halakat ke qareeb pahunch chuki hai (musannif ibn abi sheba attarikh ul kabir lil,bukhari)aap apni arz suna kar wapas aa gaye raat ko halat e khwab main ek shakhsiyat jalwah gar hui aur farmaya umar ke paas jao use mera salam kehna aur sath ye khushkhabri dena ke tum hain barish mil jayegi woh sahabi hazrat umar radiAllahu ke pas aaye aur unhain woh salam aur paigam pahuncha diya imam ibn kaseer is hadees ko naqal karne ke baad farmate hain ye sanad sahih hai (al,bidaya wan,nihaya)hazrat umar radiAllahu ke pas ye salam aur paigam pahuncha to aap ne us sahabi ko danta nahi ke tumne wisal ke baad huzur akram sallallahu alaihi wasallam ki qabr mubarak par jakr istegasa kyon kiya hai tu sidha khuda ki bargah main kyon pesh nahi hua khuda ko chhod kar makhlooq ke pas aur woh bhi wisal ke baad mushkilat v masaib ko door karane keliye makhlooq se istegasa karna to shirk hai koi shaikhul hadees hazrat farooq e aazam radiAllahu anhu se aise alfaz v kalmat hargiz sabit nahi kar sakta to roz e roshan ki tarah wazeh ho gaya ke mushkilat ke waqt meboobane khuda ko pukarna unki qubur muqaddasa par jakar istegasa karna unhain apni takaleef v masaib ke liye arz karna shirk v bidat nahi sahaba e kiram ki sunnat hai 


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.