WAHI KYA HAI
ASSALAMU ALAIKUM JAISA KE HAMEN MALOOM HAI KE HAZRAT JIBRAIL AMEEN BARGAH E RISALAT SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM MAIN ( WAHI ) LEKAR AATE THE
TO WAHI KYA HAI IS POST MAIN USI KE BARE MAIN BATAUNGA AAP PURI POST ZAROOR PADHEN
lugat arab main wahi ka mani hai TEZ ISHARA - CHUPKE SE PAIGAM PAHUNCHANA wagairah
lekin shariyat main is se murad Allah tala ka khud bila,wasta ya ba,wasta farishta apne nabi par apne kalam ko nazil karna hai
WAHI KI SURATEN
wahi ki ek surat ambiya e kiram ke khawab hain jo ke qatai v yaqeeni hain
wahi ki dusri surat ye hai ke farishta nabi ke dil main ALLAH ka kalam nazil karta hai
wahi ki tisri surat ye hai ke farishta nabi ke kan main kalam e ilahi dalta hai
wahi ki chauthi surat ye hai ke farishta apni asal surat main nabi ke samne hazir ho kar bil,mushafa kalam e ilahi pahunchata hai
wahi ki panchvi surat ye hai ke farishta kisi insan kabhi jane pehchane aur kabhi ajnabi shakhs ki surat main nabi ki bargah main hazir ho kar kalam e ilahi pahunchata hai
wahi ki chhati surat ye hai ke Allah tala farishte ke waste ke bagair khud nabi ke dil main apna kalam nazil karta hai
wahi ki satveen surat ye hai ke Allah tala royat ke bagair nabi se kalam farmata hai jaisa ke musa alaihissalam se koh e tur par kiya
aur aathvin surat ye hai ke Allah tala apne deedar ke sath apne nabi se kalam farmata hai jaisa ke shab e meraj huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ko sharf e deedar bhi bakhsha aur kalam bhi farmaya
YAD RAHE KE WAHI KI IS AAKHRI SURAT KA SHARF HUZUR NABI AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KE SIWA KISI AUR NABI KO HASIL NAHI HUA
Post a Comment