qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

AQEEQAH KYA HAI


AQEEQAH KYA HAI

ASSALAMU ALAIKUM AAJ AAP AQEEQAH KYA HAI USKO JANENGE BAHUT SE LOG ISE HAKIKA KEHTE HAIN YE SAHI LAFZ NAHI HAI
BALKE SAHI LAFZ AQEEQAH HAI
HAMNE DEKH HAI KE AQEEQE KE BARE MAIN BAHUT SE LOG BACHPAN SE JAWAN AUR JAWAN SE BUDE HO GAYE LEKIN 
UNKA AQEEQAH NAHI HUA ISKI WAJAH YE HAI KE KUCHH LOGON KO AQEEQAH KE BARE MAIN UTNI JANKARI NAHI HAI
LEKIN AB KAFI LOGON KI MALUMAT MAIN IZAFA HOTE JA RAHA HAI TO AAIYE AQEEQE KE BARE MAIN JANTE HAIN

BACHCHA PAIDA HONE KE SHUKR MAIN JO JANWAR ZIBAH KIYA JATA HAI USKO AQEEQAH KEHTE HAIN YE MUSTAHAB HAI

iske liye satwan din behtar hai agar satwen din na kar saken to jab mayassar ho karen sunnat ada ho jayegi
ladke ke liye do bakre aur ladki ke liye ek bakri zibah ki jaye 
yani ladke main nar janwar aur ladki main madah munasib hai 
uske bar,aks main bhi harj nahi hai balke agar do na ho saken to ladke main sirf ek bakra karne main bhi harj nahi
agar bada janwar zibah karen ..to ladke ke liye do hissa aur ladki ke liye ek hissa kafi hai 
qurbani main aqeeqah ki shirkat ho sakti hai aqeeqah ke janwar ke liye bhi wahi sharten hain jo qurbani ke janwar ke liye hain 
aqeeqah ka gosht faqeeron aur azeezon aur doston ko kachcha taqseem kar diya jaye ya paka kar diya jaye 
ya ba,taur ziyafat dawat khilaya jaye sab surten jaiz hain 
nek fali ke liye haddiyan na tode to behtar hai aur todna bhi na jaiz nahi 
gosht ko jis tarah chahen paka sakte hain 
magar meetha pakana bachche ke ikhlaq achchhe hone ki fal hai
aqeeqah ka gosht maa baap dada dadi wagairah sab kha sakte hain 
aqeeqah ki khal ka hukm qurbani ki khal wala hai 
0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.