DIL AUR ZABAN SAB SE BEHTREEN BHI
AUR SAB SE BAD,TAREEN BHI
ASSALAMU ALAIKUM DIL AUR ZABAN AISI CHIZEN HAIN AGAR YE ACHCHHI HAIN TO SAMAJHLO SARA BADAN BHI ACHCHHA HAI
DIL AUR ZABAN KO PURE BADAN KA CONTROL HASIL HAI AUR ZIYADA MALOOMAT KE LIYE YE POST PURI PADHEN
kaha gaya hai ke luqman ek habshi gulam the unke aaqa ne unhain ek bakri di aur kaha ke ise zibah karo
aur is main se gosht ke do behtreen tukde mere pas le aao
woh DIL AUR ZUBAN KO LE AAYE
kuchh din baad malik ne ek bakri di aur kaha ke ise zibah karo aur uske gosht main se do bad,tareen tukde
mere pas le aao
woh phir DIL AUR ZUBAN LE AAYE
MALIK NE ISKI WAJAH PUCHHI TO UNHON NE FARMAYA AGAR SANWAR JAYEN TO YAHI DO SAB SE ACHCHHE HAIN AUR AGAR BIGAD
JAYEN TO YAHI SAB SE BAD,TAREEN HAIN (irshad ul ibad S 116)
dosto insani jism ek chhoti si saltnat hai aur is saltnat ka badshah aur hukmran dil hai puri saltnat ka nizam
badshah ke gird ghumta hai jo nazariya soch aur mizaj badshah ka hoga wohi public (riaya) ka hoga
nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke jism main gosht ka ek tuda hai
woh sanwar jaye to pura jism sanwar jata hai aur agar woh bigad jaye to pura jism bigad jata hai
SUNLO WOH DIL HAI
har roz subah sare aaza jismani zuban ko kehte hain ke hamare muamle main khuda se darte rehna agar tu sidhi rahi to
ham bhi sidhe rahenge aur tu tedhi ho gai to hamara bhi yahi hal hoga yani hamari islah aur bigad tumhare sath wabasta hai
tu thik rahi to ham bhi thik rahenge aur tu raste se hat gai to ham bhi ter sath jayenge
Post a Comment