Allah Ki Raah Mein Kharch Karne Se Rizq Badhta Hai
Assalamu Alaikum doston,
Is Tahreer mein Allah ki raah mein kharch karne ke faiday aur iske sawab par roshni dalne ki koshish ki gayi hai. Allah-ki raah-mein kharch-karne se maal-kam nahi hota balki barkat hoti hai. Aaiye iske fawaid aur fazail ke baare mein tafseel se jaante hain.
Allah Ki Raah Mein Kharch Karne Ki Ahmiyat:
Hamen yeh khayal nahi karna chahiye ke Allah ki raah mein kharch karne se maal mein kami ho jayegi, balke Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam farmate hain ke raah-e-Khuda mein kharch karne se maal barhta hai aur ismein barkat hoti hai.
Qurani Dalail:
Allah Ta'ala farmata hai:
"Aur jo cheez tum Allah ki raah mein kharch karo woh uske badle mein aur dega aur woh sabse behtar rizq dene wala hai."
(Para 22)
Hadees Shareef:
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
"Aye Ibn-e-Adam! Kharch kar, mein bhi tujhe ata karunga."
(Mishkat Sharif, Safa 164)
Sadqah Ki Barkat:
Allah Ta'ala farmata hai:
"Allah Ta'ala sood ko halaak karta hai aur sadqaat ko barhata hai."
(Al-Quran)
Sadqah Se Musibaten Talti Hain:
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se marwi hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya:
"Sadqah karne mein jaldi karo, beshak is se balayen door hoti hain."
Hikayat:
Ek shakhs jungle mein ja raha tha usne ek badli se awaz suni:
"Fulan shakhs ke baag ko serab kar."
Pani ke peeche chalte hue us shakhs ne dekha ke ek aadmi apne baag mein paani de raha tha. Usne pucha: "Tum apni aamdani ka kya karte ho?" Baaghwale ne jawab diya: "Main apni aamdani ka ek hisa sadqah kar deta hoon, ek hisa ghar walon ke liye aur ek hisa baagh ki aabadi ke liye rakhta hoon." Yeh hai sadqah ki barkat. (Mishkat, Safa 168)
Mayyat Ki Taraf Se Sadqah:
Mayyat ki taraf se sadqah karna faydahmand hai. Hazrat Saad Bin Ubadah RadiAllahu Anhu se marwi hai ke unhone Arz kiya:
"Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam! Meri walda wafat pa chuki hain, unke liye kaunsa sadqah afzal hai?"
Aap ne farmaya: "Pani". Pas unhone ek kuaan khudwaya aur kaha: "Yeh Umme Saad ke liye hai."
(Mishkat)
Nateejah:
Is hadees se maloom hua ke mayyat ki taraf se sadqah karna jaaiz hai aur unhein is se faida hota hai. Isse humein maloom hua ke daswaan, chaliswaan aur isaal-e-sawab jaiz aur mashru hain.
khulasa:
Doston, Allah ki raah mein kharch karna sirf maal barhane ka zariya nahi balki akhirat ka behtareen zad-e-raah bhi hai. Allah humein iski taufeeq ata farmaye. Ameen.
Post a Comment