Qurbani Main Is Baat Ka Khas Khyal Rakhein
Assalamu Alaikum,
Doston, Zilhajja ka mahina Islami saal ka aakhri mahina hai. Zilhajja ke mahine ke shuru ke das din badi azmat aur barkat wale hain. Jahan insaan momin Musalman in das dino main khususi taur par Allah ke zikr ka ehtemam karta hai, tasbih o tahleel padhta hai, roza rakhta hai aur dino se zyada sawab use milta hai.
Qurbani Ki Sunnat
Zilhajja ki das tarikh ko duniya bhar mein jahan jahan Musalman aabad hain aur sahib-e-haisiyat hain, woh qurbani kiya karte hain. Yeh qurbani Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki sunnat hai aur Aaqa-e-Do Aalam ﷺ ki bhi sunnat hai. Aur isi sunnat ko ada karne ke liye karodon Musalman Zilhajja ki das tarikh ko qurbani karte hain.
Qurbani Mein Dikhawa Na Ho
Doston, jaisa ke aapne upar title padha ke "qurbani main is baat ka khas khyal rakhein" to woh kaunsi baat hai jise har sahib-e-nisab, yani jis par qurbani karna wajib hai aur woh qurbani kar raha hai, to yeh khayal rakhe ki qurbani mein dikhawa na ho. Yani qurbani kare to khuloos ho, Allah ki raza hasil karne ki niyat ho. Warna agar qurbani mein dikhawa hoga to aisi qurbani Allah ki bargah mein maqbool nahi.
Allah ne Quran Muqaddas mein irshad farmaya:
"Allah ko hargiz na unke gosht pahunchte hain na unke khoon; haan tumhari parhezgari us tak baryab hoti hai."
(Surah Hajj)
Niyyat Aur Khuloos Ki Ahmiyat
Doston, is aayat mein is baat ki wazahat kar di gai hai ke Allah Ta’ala ki bargah mein sirf janwar ki umdgi, uski qeemat ya uski koi sifat nahi dekhi jati hai. Balke uski bargah mein tumhara khuloos aur tumhare dil ki kaifiyat dekhi jati hai. Agar tumhari qurbani riyakari aur doosri buraiyon se pak hai to yaqeenan woh Allah Ta’ala ki bargah mein maqbool hai. Aur agar us mein nam o numood shamil ho gaya to lakhon rupaye kharch karke janwar kharidkar qurbani karne par bhi woh ghair maqbool hogi.
Qurbani Ka Asal Maqsad
Qurbani ka maqsad yeh hai ke hum Allah Ta’ala ki bargah mein khuloos dil ke saath qurbani karein. Aur Sirf Allah aur Rasool alaihissalatu wassalam ki khushnoodi hamare pesh-e-nazar honi chahiye.
Post a Comment