qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Waldain ke sath bhalai aur acha bartao karo


Walden Ke Sath Bhalai Aur Achha Bartao Karo

Walden har insan ke upar Allah Ta’ala ki sabse badi nemat aur ehsan hain. Maa apne bachay ke liye kitni takleefain uthati hai, aur walid apni aulad ke liye na jaane kitni mushkilat ka samna karta hai. Is liye, Islam mein walden ke sath husn-e-sulook ki khaas ahmiyat aur takeed ki gayi hai.  

Walden Ka Ehsan Aur Unki Mehnat  

Maa apne bachay ko nau maah apni kokh mein rakhti hai aur wiladat ke waqt na jaane kitni takleefain bardasht karti hai. Phir apne doodh se uski ghiza ka intezam karti hai aur uski har zarurat ka khayal rakhti hai. Walid apni aulad ke liye din bhar ghar se door rehkar rozi talash karta hai aur na jaane kitni mashaqaten uthata hai. Yeh dono mil kar apni aulad ki parwarish karte hain aur iska haq bhi hai ke aulad unka shukr ada kare.  

Husn-e-Sulook Ka Hukm Quran Mein

Allah Ta’ala ne Quran mein irshad farmaya:  

"Aur tumhare Rab ne hukm farmaya ke uske siva kisi ko na pujo aur maa-baap ke sath acha salook karo. Agar tere samne unmein ek-yaa donon budha-pe ko pahunch-jayein, to unse uff tak na kehna aur unhein na jhidakna, balki unse izzat aur tazeem ki baat kehna."  (Quran)  

Walden Ke Huqooq Ki Ahmiyat 

Is aayat mein do baatein khaas qabil e gaur hain:  

1. Allah Ta’ala ne apni ibadat ke saath walden ke sath husn-e-sulook ki takeed ki hai. Yeh is baat ka saboot hai ke Allah ki bandagi ke baad insan par sabse bara farz walden ke sath nek sulook karna hai.  

2. Jab walden budhape ko pahunch jayein, us waqt unka khaas khayal rakhna chahiye. Agar woh koi aisi baat bhi keh dein jo nagawar lage, tab bhi unhein uff tak kehne aur jhidakne se mana kiya gaya hai.  

Aulad Ke Liye Naseehat

Doston, hamen chahiye ke walden ke sath bhalai aur achha bartao karen:  

- Unki farmabardari karein.  

- Unki zarooraton ko poora karen.  

- Unki izzat karein aur unhein jawab na dein.  

Lekin aaj kal aulad apne walden ki parwah nahi karti aur unka kehna nahi maanti, jo bahut hi buri baat hai. Aulad ka farz hai ke walden ka shukr ada karein aur poori koshish unke sath bhalai karne ki karein.  

Aakhri baat

Islam mein walden ke sath husn-e-sulook ki bepanah ahmiyat hai. Har Musalman ka farz hai ke apne walden ke huqooq ada kare aur unka shukr guzar rahe. Allah Ta’ala hamen apne walden ke sath bhalai karne ki taufeeq ata farmaye. Ameen!  

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.