qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Dua ka inaam

Walden Ki Dua Ka Inam 

Assalamu Alaikum 


Aaj ka mahol agar ham dekhte hain aur khas kar jo budhe maa baap hain, unke baare mein jab aap samaj mein dekhenge to afsos hoga. Aur yeh afsos hoga ke aaj aulad woh haq ada nahi kar rahi hai jo maa baap ka asal haq hai. Aaj aulad ki taraf se jo walden ki khidmat honi chahiye, woh hamare samaj main nazar nahi aati hai.  

Agar ham walden ki ek bahut hi pyari khoobi par nazar dalen, to aapko pata chalega ke maa baap apni aulad ke liye, chahe woh achi ho ya buri ho, hamesha uske liye bhala hi sochte hain aur use dua hi dete hain.  

Aur agar aulad nek ho, farmabardar ho, maa baap ki khidmat karne wali ho, to phir uska kya kehna! Jis aulad se uske maa baap khush hon aur uske haq mein dua karte hain, to Allah ki bargah mein woh dua foran qabool ho jati hai aur aulad ko us dua ka sila inam bhi mil jata hai.  

Waqia 

Bayan kiya jata hai ke Sulaiman Alaihis Salam apne hawai takhat par baith kar Allah Ta’ala ki qudrat ka mushahida karne aur sair karne ke liye fiza mein safar karne lage. Aapka takhat udte udte ek gehre samandar tak ja pahuncha, jismein aapne ek badi lehar dekhi. Aapne hawa ko rukne ka hukm diya jo aapka takhat utha rahi thi. Hawa ruk gai, aur aapne ek bade jin ko hukm diya ke woh samandar mein gota laga kar is lehar ki gehrai tak pahunche.  

Pas, jinno mein se ek bade jin ne gota lagaya aur samandar ki teh tak pahuncha. Wahan usne safed motiyon ka ek gumbad dekha, jiska na koi darwaza tha, na koi khidki, aur na koi roshandan. Woh jin use utha kar bahar laya aur Hazrat Sulaiman Alaihis Salam ke samne rakh diya.  

Aapne tajjub ka izhar kiya aur is raaz ko maloom karne ke liye Allah Ta’ala ki bargah mein dua ki, to uska darwaza khul gaya. Aapne uske andar ek nojawan ko sajda mein dekha. Hairan hokar puchha, “Tera talluq kis jins se hai? Kya tu farishta hai, jin hai, insan hai, ya koi aur cheez?” To usne arz kiya, “Main insaan hoon.”  

Aapne usse puchha, “Tujhe ye sharafat aur karamat kaise hasil hui?” To usne jawab diya, “Walden ke sath husn-e-sulook karne ki wajah se ye martaba naseeb hua hai.” Phir usne iski wazahat ki ke meri walda budhi thi, main uski khidmat karta tha aur use apni pusht (peeth) par uthata tha. To woh mere haq mein dua karti thi:  
‘Aye Allah! Tu ise sabr ata farma aur ise mere marne ke baad wahan makan ata farma jo zameen mein ho na aasman mein.’  

Woh wafat pa gai. Ek din, main samandar ke kinare par sair kar raha tha to mujhe wahan ye motiyon ka gumbad nazar aaya. Main iske nazdeek gaya, to iska darwaza khul gaya aur main iske andar dakhil ho gaya. Phir woh darwaza band ho gaya, aur ab mujhe maloom nahi ke main hawa mein hoon ya zameen par.  

Allah Ta’ala rozana mujhe rizq ata farmata hai. Jab bhook lagti hai, to is mehal mein ek darakht paida hota hai jo phal se lada hota hai. Uska phal bada hi laziz aur muqawwi hota hai. Jab pyaas lagti hai, to is mein ek shafaf pani ka chashma jari ho jata hai, jo doodh se safed, shehad se mitha aur baraf se thanda hota hai.  

Hazrat Sulaiman Alaihis Salam ne puchha, “Tujhe din aur raat ka kaise pata chalta hai?” Usne kaha, “Jab suraj tulu hota hai, to yeh gumbad safed ho jata hai. Jab raat hoti hai, to yeh siyah ho jata hai. Mujhe maloom ho jata hai ke ab din hai ya raat.”  

Hazrat Sulaiman Alaihis Salam ne Allah ki bargah mein dua ki, to woh gumbad band ho gaya aur phir samandar ki satah par usi tarah muqeem ho gaya jaisa pehle tha. (Majma-ul-Altaf)  

Natija  
Allah Ta’ala humein bhi apne walden ki khidmat ki taufeeq ata farmaye. Ameen.  

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.