Kya azmat hai imamul ambiya alaihissalam ki
assalamu alaikum hamne dekha hai kuchh log dadhi topi wale pakke namazi aur apne apko pakka musalman bolne wale lekin jab une aqaid dekho to bahut hi bure wohi log huzur ko apni tarah kehte hain woh is hadees ko gaur se padhe
Hazrat anas bin malik se riwayat hai huzur SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE Farmaya un qomo (logon) ka kya hal hoga jo apni namazo mai apni nigahen aasmaan ki taraf uthate hain aur apne is bare sakht tanmbih farmate huye irshad Farmaya woh log is se baaz aayenge ya unki nazren chhin li jayen (aur unhai andha kar diya jaye) (bukhari shareef)
Kya azmat hai imamul ambiya alaihissalam ki
JIS NAMAZ MAI HAM NAZREN AASMAN KI TARAF UTHAYEN TO HAMEN HUKM HOTA HAI KE BAAZ AAJAO WARNA TUMHEIN ANDHA KAR DIYA JAYEGA
AUR ISI NAMAZ MAIN MEHABOOB E KHUDA ALAIHISSALAM NIGAHEN AASMAAN KI TARAF UTHATE HAIN TO QURAN KI AAYAT NAZIL HOTI HAI (TARJUMA) HAM APKE CHEHRE KA BAAR BAAR AASMAAN KI TARAF UTHNA DEKHTE REHTE HAIN.. Aur isi adaye dil nawaz ke natije main aapki marzi pe QIBLA tabdeel kar diya gaya..
Mulk kaunen main ambiya tajdar
Aur tajdaron ka aqa hamar NABI
SALLALLAHUALAIHIWASALLAM
Post a Comment