Husn-e-Muashrat ki Taleem
Assalamu Alaikum
Husn-e-Muashrat ko samajhne se pehle yeh janna zaroori hai ke Husn-e-Muashrat kya hai, taake aapko aage ka mazmoon puri tarah se samajh mein aa sake.
Husn-e-Muashrat Kya Hai?
Husn-e-Muashrat ka matlab hai ache Akhlaq aur samaji taleem. Ise ek misal se samjha jaye. Jaise ke hum sab jahan rehte hain, wahan pura mohalla ya samaj basa hota hai. Is samaj mein har tarah ke log hote hain – koi chhota hai, koi bada, koi ameer hai, to koi gareeb, koi seth hai, to koi naukar, koi gora hai, to koi kala. Hamare samaj mein har tarah ke log hote hain. Humein logon ke beech bhedbhav nahi karna chahiye, kisi ko kamzor nahi samajhna chahiye, kisi ka mazak nahi banana chahiye, balki sabhi se khush akhlaq (ache vyavahar) ke sath pesh aana chahiye. Zaruratmand ki madad karni chahiye, chahe woh chhota ho ya bada, ameer ho ya gareeb, gora ho ya kala. Yani sabhi samaj walo se mil-julkar rehne ko Husn-e-Muashrat kehte hain.
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka Amal Mubarak
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam apne ashab, ahbab, azwaj-e-mutaharat, rishtedaron, padosiyon, har ek ke sath Husn-e-Muashrat aur khush akhlaq ke sath pesh aate the. Woh sabhi ke sath mil-julkar rehte, har ek se guftagu (baatcheet) karte. Sahaba-e-Kiram ke bachon ke sath khush tabiyat (mizaj) ke sath pesh aate, un bachon ko apni muqaddas god mein utha lete. Azaad ghulam, laundi aur miskeen har ek ki daawat qubool farmate. Madine ke kisi bhi kone mein mareezon ki iyadat (kheriyat poochhne) ke liye tashreef le jate. Uzr (maafi) karne walon ka uzr qubool farmate aur dusron ko bhi mil-julkar rehne ki taleem dete.
Chunanche, Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ke khadim-e-khas Hazrat Anas RadiAllahu Anhu apke Husn-e-Muashrat ka tazkira karte hue irshad farmate hain:
"Maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki 10 saal tak khidmat ki, lekin is taweel muddat (lambe samay) mein aapne mujhe kabhi 'uf' tak nahi kaha aur na hi yeh kaha ke tumne aisa kyun kiya." (Musnad Ahmad)
Isi tarah Hazrat Jareer RadiAllahu Anhu se marvi hai, woh farmate hain:
"Jab se Musalman hua, tab se Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujhe apne paas aane se nahi roka aur jab bhi mujhe dekhte to muskura dete." (Sahih Bukhari)
Nateeja
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki talimat par amal karke hum dono jahan (duniya aur aakhirat) mein kamyabi pa sakte hain. Yaqeenan Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki talimat puri ummat-e-Muhammadiya ke liye aala namuna hain. Agar hum apni infiradi (vyaktigat) aur ijtimaai (samaji) zindagi ko iske mutabiq dhal lein, to humare liye dono jahan mein kamyabi ki rahein khul jayengi. Puri duniya mein aman-o-amaan, chain-o-sukoon ka gehvara ban jayega. Zor-o-zulm, qatl-o-gharatgiri ka khatma ho jayega aur adl-o-insaf ka behtareen nizam qayam ho jayega.
khulasa
Husn-e-Muashrat ki taleem hamein na sirf ek behtar insaan banati hai, balki samaj ko bhi majboot aur ekjut karti hai. Isliye hamein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqe ko apnakar apni zindagi ko sudharna chahiye aur samaj mein aman aur bhaichare ko badhava dena chahiye.
Post a Comment