qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

pani par chale hawa main ude lekin shariat ki itteba na kare aisha shakhs wali nahi ho sakta

 


Allah ke Wali Ki Pehchan

Allah ke Wali Ki Pehchan quran o hadees aur buzurgon ke aqwal ki roshni main 

Hadees Sharif huzur Sallallahu Alaihi wasllam ka Irshad hai aap Sallallahu  alahi wasallam irshad farmate hain Qayamat ke din Allah Ke Kuchh Bande Aise Honge Jo Na Nabi Honge aur na Shuhda Magar unke maqaam aur Bulandi Ko Dekhkar Baz ambiya aur Shuhda bhi Rashk Karenge (Abu dawud Jild 3 Safa 228)

Allah Tala Quran e Muqaddas main Irshad farmata  Hai

(Tarjuma) beshak Allah ke Wali muttaqi hi hote hain (para 9 Surah anfal Ayat 34)

Dotson parhezgari khashiyat bagair ilm ke na mumkin hai jaisa ke maula tala Quran main irshad farmata hai 

(Tarjuma) Allah se uske bandon main wohi darte hain jo ilm wale hain

(para 22surah fatir aayat 28)

qaul 

huzur gaus paak radiAllahu anhu farmate hain ke

tasawwuf sirf guftgu nahin balke amal hai

aur farmate hain ke

jis haqeeqat ki gawahi shariyat na de woh gumrahi hai

(fatuhul gaib safa 82)

qaul

hazrat mujaddide alfe sani rehmatullah alaih farmate hain 

jo shariyat ke khilaf ho woh mardood hai

(makubat e imam rabbani hissa1 maktub36)

hazrat sihabuddin soharwardi rehmatullah alaih farmate hain ke

jisko shariyat radd farmaye woh haqeeqat nahin be deeni hai 

(awareful muarif j1 s43)

qaul 

hazrat imam gazali rehmatullah alaih farmate hain 

jis haqeeqat ko shariyat baatil bataye woh haqeeqat nahin balke kufr hai  (tajalliyate shaikh mustafa raza safa149)

hazrat baizeed bustami radi Allahu anhu farmate hain ke

agar tum kisi ko dekho ki woh hawa main udta hai paani par chalta hai 

gaib ki khabren batata hai magar shariyat ki itteba nahin karta to samajh lo ki woh mulhid wa gumraah hai 

(saba sanabil shareef safa 186)

waqia 

ek shakhs hazrat junaid bagdadi radi Allahu anhu se ye sochkar mureed hone ke liye aaya ke hazrat se koi karamat dekhunga to mureed ho jaunga woh aaya aur aastane main aakar rehne laga is tarah pure 10 saal guzar gaye aur 10 saalon ke baad woh na murad ho kar wapas jane laga hazrat ne use bulwaya aur kaha ke tum 10 saal pehle aaye aur yahan rahe aur ab bina bataye ja rahe ho  "kyon" to woh kehne laga ke maine aapki badi tareef suni thi ke aap ba karamat buzurg hain isliye aaya tha ke aap se koi karamat dekhunga to aapka mureed ho jaunga magar pichhle 10 saalon main maine aapse 1 bhi karamat sadir hote huye nahi dekhi isliye ja raha hun 

hazrat junaid bagdadi radi Allahu anhu farmate hain ke aye jane wale tune pichhle 10 salon main mera khana pina sona jagna uthna bethna sab kuchh dekha magar kya kabhi aisa koi khilaf e shara kaam bhi hote dekha is par woh kehne laga ke nahin maine aapse kabhi koi khilaf e shara kaam hote nahi dekha to aap farmate hain ke aye shakhs kya is se badi bhi koi karamat ho sakti hai ke 10 salon ke taweel arse main ek insan se koi khilaf e shara kaam hi na ho 

(tarikhul auliya j1 s67)

is waqia se maloom hua ki shariyat ki pabandi hi wilayat hai 

huzur gaus e paak farmate hain 

main ek jangal main tha bhukh aur pyas ka sakht galba tha achanak mere samne ek roshni chha gai aur ek aawaz aai ke aye abdul qadir main tera rab hun aur tujh se bahut khush hun isliye aaj se maine tum par har haram chizen halal farma di aur tum par se namaz bhi maaf farmadi ye sunte hi maine la haul shareef padha to fauran woh roshni gayab ho gai aur ek dhuwan sa reh gaya phir aawaz aai ke aye abdul qadir main shaitan hun tujh se pehle isi jagah par maine 70 auliya e kiram ko gumrah kiya hai magar tujhe tere ilm ne bacha liya is par huzur gaus e paak farmate hain ke aye mardood mujhe mere ilm ne nahi balke rab ke fazl ne bachaya hai ye sunte hi iblees farar ho gaya 

(bahjatul asrar safa 120)

is waqia se maloom hua ke aalim ko apne ilm par nahi balke Allah tala ke fazl par fakhr aur bharosa karna chahiye 

in sab baton ka nichod yani khulasa ye hai ke agar hawa main udna wilayat hoti to iblees laeen sabse bada wali hota ke satwin zameen ke bhi niche tahtussara main theharta hai magar jaisa hi name liya paas aakar beth jata hai ke 3500 sal se bhi ziyada ka safar woh pal bhar main tai kar leta hai magar woh wali nahi mardood hai aur agar pani main chalna wilayat hoti to kafir bhi apne jadu se pani par chala karte hain magar woh wali nahi balke mardood wa jahannami hain 

aur agar gaib ki khabar dena wilayat hoti to kabhi kabhar nujumi yani astrologer bhi sahi bavishyawani kar diya karte hain magar woh bhi wali nahin 

khulasa ye hai ke namaz chhodne wala dadhi mundane wala apni marzi se photo khinchne khichwane tv ya youtube par apni video banwakar dalne dalwane wala music sunne wala na mehram aurton ki sohbat main bethne wala jhoot bolne wala fasiq hai hargiz wali nahi ho sakta 

al hasil jo ilm wala hoga wohi taqwe wala hoga aur jo taqwe wala hoga wohi Allah ka wali hoga lihaza wali ko uske taqwe se pehchane karamat se nahi jaisa ke imam e aazam aur imam e shafai radi Allahu anhuma farmate hain 

jab ulama auliya Allah (Allah tala ke wali ) nahi to phir koi Allah ka wali nahi aur ye us aalim ke bare main hai jo apne ilm par amal karta ho (tafsir e saavi j2 s182) 

ab agar ilm aur taqwa parhezgari dekhna hai to bareli shareef kichhochha shareef chalen jayen aur wahan par kisi aalim e ba amal ka deedar kar len to khud ba khud samajh main aa jayega ke wali kaisa hota hai unhain dekhte hi woh hadees sharif yaad aa jayegi ke aap sallallahu alahi wasallam farmate hain

wali woh hai jisko dekh kar tumhain khuda ki yaad aa jaye 

(tirmizi shareef)


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.