qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

miyan biwi ki zindagi ko Khush gawar aur mazboot banane mein biwi Ka Amal dakhal ziyada hota hai


Khushgawar azdawaji Zindagi aur hadees e nabwi sallallahu alaihi wasallam

Shadi se pehle badi mohabbat aur chah se azdawaji talluq joda jata hai aur donon khandan ke log ek dusre per Jaan nichhawar Karte nazar aate Hain lekin jaisa ke dekha gaya hai ki shaadi ke bad yahi log jo ek dusre per jaan chhirakte the bagair kisi wajah ke ya bahut hi mamuli wajah se ek dusre ke khilaf saf aara ho jaate Hain aur is mukhalifat ke asrat se naya nawela joda bhi nahin bach paata agar to is jode mein donon fariqain Apne zehn o dimag se kam len to baat Kisi had tak Sanwar sakti hai aur ikhtelafat wahin per dam Tod jaate Hain basurat digar halat bahut ziyada bigad jaate Hain Islam ne insani Rishton ke bare mein jo hoquq o faraiz wazaa kiye Hain uski nazeer duniya ke Kisi aur mazhab mein Nahin milti miyan biwi ke ek dusre per huqooq ke silsile mein bhi Islam ne ek zabta tarteeb Diya hai jiski roshni mein miyan biwi ke mabeen pyar o mohabbat ki fiza barqarar rehti hai ahadees ki kutub main beshumar aisi ahadees bayan hui Hain Jin main bataya gaya hai ki miyan biwi ke ek dusre par kya huqooq o faraiz hain aur unki adayegi kis had tak zaruri aur lazim hai 

yaqinan yeh islami zabte aur usool miyan biwi ke darmiyaan pyar o mohabbat aur zehni ham aahingni ko mazboot se mazboot tar karne ka baais Hain 

Azdawaji zindagi ko Khush gawar aur mazboot banane mein biwi Ka Amal dakhal ziyada hota hai woh agar chahe to ujadte hue ghar ko bacha sakti hai aur agar chahe to hanste baste ghar ko tabah aur barbad kar sakti hai ek acchi aur samajhdar aurat jab biwi ke roop mein samne aati hai to us per bahut ziyada zimmedariyan hoti hain jinse ohda baraa hokar hi woh ek kamyab biwi sabit ho sakti hai "Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam se poochha gaya ke kaun si aurat sabse acchi hai aap sallallahu alaihi wasllam ne farmaya Jo Apne shauhar ko Khush kar de jab bhi woh us per nazar Dale aur jo ita,at Kare jab bhi woh us se Kisi kam ke liye kahe aur jo apni Jaan aur apne Mal ke bare mein aisa koi rawaiyya ikhteyar Na Kare Jo Uske shauhar ko Na Pasand ho" (abu dawood nisai )

is hadees e mubaraka mein Nabi Kareem sallallahu alaihi wasllam ne ek behtareen aurat ki teen  khubiyan bayan ki Hain 

1) pehli yeh ke biwi seerat wa Surat aur Ikhlaq o wafadari ke baais Apne shauhar ke liye is qadar Pur kashish aur baaise sukoon ho ke woh jab bhi us per nazar dale sohar Ka Dil bag bag ho jaaye agar woh Surat ke aitbaar se to Chand ko sharmae lekin Ikhlaq o mohabbat aur wafadari ke zewrat se aarasta na ho to shauhar ko masroor Nahin kar sakti isi Tarah agar seerat o Ikhlaq  ki Malik ho lekin har waqt gandi aur gam zida rahe to aisi aurat bhi shauhar ko koi Khushi Nahin de sakti 

2) dusri khoobi yeh hai ki woh shauhar ki ita,at guzar ho aurat ka fitri maqam yahi hai ki woh gharelu Zindagi mein hamesha shauhar ki Rai aur Marzi ko pesh nazar rakhe balke shohar ki Khushi aur marzi hi uske liye sab kuchh ho

3) teesri khubi yeh ke woh apni zaat ke mamle mein Kabhi koi aisa rawaiyya ikhteyar Na Kare Jo shauhar ko nagawar guzre apni aaraish o zebaish main shauhar ki Pasand ka lihaz Kare aur rehan sehan ke andaaz mein bhi shauhar ki marzi ko pesh nazar rakhe

hazrat saad bin abi waqas radi Allahu tala anhu farmate Hain ke huzoor paak sallallahu alaihi wasllam ne farmaya

teen chizen aadmi ki Nek bhakti ki alamat hain aur teen chizen uski bad bhakti ki alamat Hain 

Nek bhakti ki teen alamat yah Hain 

1) Nek biwi 

2) achcha Ghar 

3) umada sawari 

bad bhakti ki teen alamat yeh Hain

1) buri biwi 

2) mamuli Ghar 

3) ghatiya sawari

ek riwayat mein aata hai 4 chizen Khush qismati ki alamat Hain 

1) Nek biwi 

2) kushada Ghar 

3) achcha padosi 

4) umda sawari 

aur char chizen bad naseebi ki alamat Hain 

1) buri biwi 

2) Bura padosi 

3) tang Ghar 

4) mamuli sawari 

Abdullah bin Umar Radi Allahu anhu se marwi hai 

ke huzur Pak sallallahu alaihi wasallam ka irshad Pak hai duniya mamuli si Mataa hai aur duniya ki behtareen mataa Nek biwi hai (Sahi Muslim ibne Maja) 

Abdullah bin Umar Radi Allahu anhu Rawi Hain huzoor paak sallallahu alaihi wasallam ne farmaya "do insan aise Hain jinki namazen unke sar ke upar bhi nahin jaati "Woh gulaam Jo Apne aaqa se bhaga ho yahan tak ke wapas laut jaaye dusre woh aurat jisne khawind ki nafarmani ki ho yahan tak ke tauba kar le"

to miyan biwi Ka rishta bhi bach sakta hai aur ghar mein bhi sukun ho sakta hai ba sharte ke shohar ke sath us se ziyada biwi apni samajhdari se kam le !

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.