Itteba e Sunnat mein kamyabi hai
Aye hayat e Insaniyat ke talabgaron Agar Insaniyat ki baqa wa Jila Bakhshi chahte ho Agar Insaniyat ke Dastoor e hayat Mein baankpan chahte ho to Mohsin e Azam rahmate Alam Sallallahu Alaihi Wasallam ki Pakiza wa muqaddas tareen aur Insaniyat aamooz zindagi ko Namuna banaa Lo Agar amlan Hayat e Insaniyat ko khushboodar banana chahte ho to Insan e kamil Huzoor Sallallahu alahi wasallam ki hayat e tayyaba ki rooh Parwar Khushbu Se Dil Ko muattar kar lo Agar bazm e insaaniyat mein Chamak damak dekhne Ki Tamanna Hai to sayyedena noor e bashar Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Hayat e Noorani ki Shama farozan se dil ko Ujala kar lo Agar aman wa aafiyat ke mutalashi ho to paigambar e Aman wa Amaan donon Alam ke sultan Sallallahu alahi wasallam ki mutabarrak adaon ki chhanv mein a jao Kyunki haqiqi taur per Yahi Ek Aisi Benazir wa la jawab zaat e Muneer hai ki Jiski gulami wa itteba main Insaniyat ki Hayat wa baqa aur fauz o falaah hai !
ki Muhammad Se Wafa tune To Hum Tere Hain Yeh Jahan Cheez Hai Kya Lau ho qalam Tere Hain
Magar aaj ka zahir parsat Insan Huzoor Sallallahu alaihi wasallam ke uswa e Hasana Aur muqaddas sunnaton Ko chhodkar science dan Ke Piche chalne aur uski aqal ki gulami karne mein Insaniyat ki falaah samajh raha hai yeh Aqal Ka Gulam Insan sarware Do Jahan Huzoor Sallallahu alahi wasallam ke ahkam e mutah.hera wa irshad e tayyeba ko Nazar Andaaz Kar Ke science ke urooj wa irteqa ko waseela samajhne ki nadani karta Nazar aa Raha Hai Jabke Haqiqat to yeh hai ke science dan Loha Lakdi ko taraqqi to de Sakta Hai Magar Insaniyat Ko Nahin science Dan Maddiyat ko to chamka sakta hai ruhaniyat Ko Nahin science dan Insan ka zahir to ho sakta hai lekin batin Nahin science Dan Insaan ke liye zahiri aasaniyan to Paida kar sakta hai lekin Insan ki Insaniyat Ko baqa e dawam aur Hayat e zobaar Nahin De sakta dekhiye aaj ke sciencei daur main insan taraqqi per Hai Magar Insaniyat tanazzuli Mein Hai aadmi Hawaon Mein Parwaz Kar Raha Hai Magar aadmiyat Sisak Rahi hai asre Hazir Mein Insan ke liye zahiri aish o Ishrat ke beshumar Saz o Saman maujud hain lekin Haqiqi sukun ka faqdaan hai
Zara aap Gaur Kijiye ki science Dan ne mobile computer internet wagera ko ijad to kar diya aur aapne un cheezon ko istemal bhi kar liya aur unke fayde ko bhi aapne samajh liya lekin unke muzir asrat per Kabhi aapane gaur kiya ke Aaj Aksar o beshtar log in chizon ka istemal kis dhang se kar rahe hain in chizon ke zariye Itni behayaiyan fail Gai Hain jinko Safa e qirtas par lane Se Main Khud Hi Sharminda Hun lihaza Agar haqiqi sukun Ki Sacchi Talash Hai To Halat e Haazra ke naam nihad Taraqqiyon Ke Pichhe bhaagne ki zarurat Nahin Hai balki tehzeeb e Islami ko apnane ki zarurat hai yahi woh mazhab e islam hai jo paigam deta hai "aur apni Aulad ko qatal na Karo Muflisi ke dar se Ham unhen bhi Rozi Denge aur Tumhen bhi"(Quran)
aur Sura Haj main Allah tala Ka elan hai (Tarjuma) Humne (Awwal) Tumhen Mitti Se Banaya fir nutfa se (jo ke giza se Paida Hota Hai) phir Khoon ke lothre se phir boti se ke (baaz) Puri hoti hai aur (baaz) Adhuri bhi Taki Ham Tumhare Samne Apni Qudrat zahir kar den aur phir Thehrae rakhte Hain Maaon ke pet Mein Jise Chahen Ek Muqarrar miaad Tak (Quran )
Aapne abhi jo upar aayat e Karima ka Tarjuma Padha to us se yeh Baat zahir Ho Gai ke Tum Allah Tala ke kamale qudrat wa hikmat ko Jano aur apni paidaish ke halat per Nazar Karke samajh lo ke jo qadir e barhaq be jaan Mitti Se jandar aadmi banaa Deta Hai woh Mare Hue Insan ko Zinda Kare to uski qudrat Se Kya baeed !
Ab Yahan Hadis Sharif bhi padhen Hadees Pak mein Huzoor Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Tum logon ka madda e Paidaish maa ke shikam mein 40 Roj tak nutfa rehta hai phir Itni hi Muddat Mein khoon e Basta ho jata hai phir Itni hi Muddat Tak Gosht ki boti Ki Tarah rehta Hai phir Allah Tala Farishta ko bhejta hai jo uska rizq uski Umar Uske Amal uska Shaqqi ya saeed (Achcha Bura) Hona likhta hai phir us mein rooh phoonkta hai (bukhari wa Muslim)
ab aap hi Faisla Karen ke Quran wa Hadees Mein Aulad ko qatl karne se roka ja raha hai lekin Afsos sad Afsos ke halat e hazra Mein bade bade zee shaoor wa Hoshmand is tabahkari mein Mubtila Hain ke Junhi Aurat Hamla Hui Aala ke zariye dikhwa liya jata hai ki maadare shikam Mein ladka hai ya ladki Jaise hi Maloom Hua Ki Ladki Hai To Dawa ya Kisi Ala ke zariye us Hamal ko zaail karwa diya jata hai
Zara sochiye to sahi ki ye ladkiyon per zulm Nahin to aur kya hai aur Agar yeh sochkar Ladkiyon ko Khatam Karte Hain Ki usko Palna posna aur shaadi karni Hogi aur Jahez ki Mang Ko Puri Karni Hogi to phir Ek Din Aisa Bhi aayega ki tumhare ladkon ke liye biwiyan nahin Milengi aur hal yeh Hoga ke Insan Ki Nasal Dheere Dheere khatm hoti Chali Jayegi Jab Ke Mohsin e Azam sarware Alam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad farmaya ke "Nikah us Aurat se karo Jo kasrat e Aulad Janne ki salahiyat rakhti Ho"(bukhari wa muslim)
Ab aap khud hi Faisla Karen ki Mohsin e kainat Sallallahu Alaihi wasllam ka Irshad Kitna Anokha hai lekin Afsos sad Afsos Ke Daur e hazir ke science dano aur Nadano ne aurton ko Maidan Mein lakar Khada kar diya aur Tarah Tarah ka lalach dekar club hotel Mein lakar Dal Diya aur yeh qanoon banaa Diya ki jo aurten Parda Nasheen Ho Unka Koi maqam Nahin isliye Libas Itna Chhota ke azu chhupane Ki Bajae nangi hi Dikhai Den in be haya Tariqa ko un Nadanon ne fashion aur modern culture ke naam se Mausoom kar liya Kahiye ye haiwaniyat Nahin to aur kya hai
yeh sab Kuchh uswa e Hasana aur Seerat E Tayyaba ki Roshni chhodne se ho raha hai aaj Bhi Agar Ham Saware Kon o makaa Sallallahu alahi wasallam ki Sunnat aur Seerat E Tayyaba ko Apna Len To ye yaqeen e kamil hai ki zarur Hamen kamyabi Milegi khudawand quddus ki bargah main Dua Hai Ki Hamen Mohsin kayenaat sallallahu alahi wasallam ki Seerat E Tayyaba ko Anmol Tohfa samajhkar apnane ki taufeeq bakhshe (aamin)
Post a Comment