qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

wealth dault se ziyada qimti hai ye kaam salam karo dheron inaam pao


Salam ke fazail v aadab 

Duniya ki tamam tehzeebon aur qaumo main aise duaaiya kalmat raaij hain jo muaashre ke afrad bahmi mulaqat ke waqt pyar aur mohabbat aur Khair andeshi ke  izhar ke liye istemal karte Hain maslan magrib mumalik main good morning aur good evening Jaise alfaz istemal hote Hain hinduon main namaste aur sikho main sat siri akal ke alfaz istemal hote Hain aise duaaiya kalmat daur e jahiliyat ke Arab mumalik main bhi raaij the jinka tazkira hamen sunan abu daood ki ek riwayat se milta Hai 

Emran bin haseen radi Allahu anhu kehte Hain ke ham daure jahiliyat main mulaqat ke waqt. Kehte the Allah tumhari aankhon ko thanda kare aur  tumhari subah Khush gawar ho aur jab Islam aaya to hame is se rok diya Gaya 

Islam ne bhi mulaqat ke waqt duaaiya kalmat Ka ye silsila jari rakha bas faraq ye kiya  ke daur e jahiliyat ke kalmat ko Assalamu Alaikum warahmatullah wabarakatuhu se badal diya ye behtreen aur nahayat jaame duaaiya kalmat hain jinke mani hain aapko duniya aur akhirat ki salamati naseeb ho aur Allah ki rehmaten aur uski barkaten aap par nazil hon is duaaiya kalmat par chhoto ke liye shafqat bhi hai aur badon ke liye ikram aur tazeem bhi 

Sharai nuqta e nazar se salam kehna sunnat hai jabki uska jawab dena wajib hai surah nisa main hamen salam ke bare main ye hidayat milti hai ke salam ke jawab main kuchh izafa karen ya kam az kam unhi alfaz se salam ka jawab den Allah tala ne farmaya ke jab tumhain salamati ki koi dua Di jaye to tum bhi salamati ki dua main us se behtar dua do ya usi ko lauta do yaqeenan Allah har chiz Ka hisab rakhne wala hai salam ki ahmiyat aur fazail ke bare main ahadees Ka ek zakhira maujood hai Jin main se yaha kuchh likh raha hun 

Salam qurb e ilahi aur jannat ka zaria 

Salam ki ahmiyat ka andaza is baat se ba aasani lagaya ja sakta hai ke rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne salam main pehal karne ko Allah tala ki qurbat aur jannat ka zaria qarar diya 

Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya logon main Allah ke qareeb woh hoga jo salam karne main pehel kare ek dusri hadees main rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne teen chiz ko jannat ka zariya qarar Diya Jin mein se ek salam karna hai rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Rahman ki ibadat Karo band gane khuda ko khana khilao aur salam ko failao jannat mein pahunch jaaoge salamati ke sath -salam neki kamane ka aasan tarin zariya - ek Hadees mein Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ne salam ka Tariqa bayan Kiya aur yah bhi bataya ke is per kitni nekiya milti Hain Imran bin hasin se riwayat hai ek aadami  Nabi sallallahu alaihi wasallam ke pass Aaya  aur usne Kaha Assalamu alaikum aapne usko jawab Diya aur wah baith Gaya aapne farmaya iske liye 10 nekiya Hain phir dusra shakhs Aaya aur usne Kaha Assalamu alaikum warahmatullah aapne usko jawab Diya To woh baith Gaya aapne farmaya iske liye 20 nekiya Hain phir ek aur shakhs Aaya usne Kaha Assalamu alaikum wa rahmatullah wa barakatuhu aapne usko jawab Diya to wah baith Gaya aapne farmaya iske liye  30 nekiya hain

Salam neki kamane ka aisa asan zariya hai jiske liye koi mehnat Nahin Karni padti bus zaban se do bol bolne padte Hain aaj hamen nekiyon ki qadar Nahin Hai in nekiyon ki qadar hamen qayamat ke Roz hogi jab ek neki ki Kami ya ziyadati se insan ke jannati ya jahannami hone Ka faisla hoga 

salam bahmi mohabbat Ka baais

Mulaqat ke waqt salam Karne se  bahmi mohabbat mein izafa hota Hai aur muaashre mein Bhai chare ko farog hota hai

 rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tum jannat mein dakhil nahin ho sakte yahan tak ke tum kamil momin ban jao aur tum Kamil momin Nahin ban sakte jab tak ke tum ek dusre se mohabbat Na Karo kya main tumhen aisa kaam Na bataun ki jab tum use karo to tum aapas mein mohabbat Karne lago woh kam yeh hai ki aapas mein salam ko aam karo

Salam ek Pasandida Amal

Salam Karne se samaj mein bahmi mohabbat aur ulfat aur khair andeshi ko farog milta Hai isliye Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ne ise Islam ka pasandida Amal qarar Diya Hai hazrat Abdullah bin amru kehte Hain ki ek aadmi ne rasool Allah lallahu alaihi wasllam se puchha ke kaun sa Islam yani Islam ka kaun sa Amal Pasandida Hai aapne farmya ek yeh ke tum bandgane khuda ko khana khilao aur dusre ye ke jiske sath jaan pahchan ho usko bhi aur jiske sath jaan pehchan na ho usko bhi salam karo 

Salam musalmanon ka haq

Ek musalman ke dusre musalman par Kai huquq Hain jinka Ada karna zaruri hai in huquq mein se ek haq salam karna bhi hai rasool Allah sallallahu sallam ne farmaya musalman ke musalman par 6 huquq Hain  sahaba kiram ne puchha ya rasool Allah sallallahu alaihi wasallam kaun kaun se apne farmaya  (1) jab to usse mile to use salam Kare (2) jab madu Kare to uski dawat qubool Kare (3) jab woh nasihat ya mukhlisana mashwara ka talib ho to uski khair khawahi Kare (4) jab usko chhink Aaye aur woh alhamdulillah kahe To uska jawab  yarhamo kumallah ke sath de (5) jab woh bimar ho to uski iyadat kare (6) jab woh inteqal kar jaaye to uske janaze ke sath jaaye

SalamTakabbur ka ilaaj

Kibreyai Allah tala ki Chadar hai aur Allah ko yah gawara Nahin ki koi aur us chadar per apna haq jataye aur khud guroor aur takabbur mein mubtila ho jaaye Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne salam main Pehal Karne Wale ko takabbur se bari qarar diya hai aur farmaya salam mein Pehal karne wala takabbur se bari hai

Salam ke aadab aur zawabit 

salam aur jawab e salam ke mutaliq rasool Allah sallallahu sallam ne kuchh aadab o zawabit  bhi talim farmaye hain jinko mein yahan per likh raha hun  rasool Allah sallallahu sallam ne salam ke bare mein yeh hidayat farmai ke chhota bade ko guzarne wala baithe huon ko aur thode log zyada ko salam Karen farmaya chhota bade ko raste se guzarne wala baithe hunko aur thode aadmi zyada logon ko salam Kiya Karen  adab Ka taqaza To yahi Hai ki chhote badon ko salam Karen lekin kabhi badon ko bhi shafqat karte hue salam mein Pehal Karni chahie is se na to unki koi toheen hoti hai aur na yah shariat ke khilaf hai isliye ki ye rasool Allah sallallahu alaihi wasallam se sabit Hai hazrat anas bin Malik farmate Hain rasool Allah sallallahu sallam ek dafa bacchon ke pas se guzre to aapne unhen salam Kiya  isi Tarah Kabhi baithe hue ko bhi chahie ki woh aane Wale ka isteqbal aur uski izzat afzai karne ke liye khud salam Kare Allah tala ne farmaya aur jab tumhare pas aise log Aayen jo hamari aayaton per iman late Hain To unse Assalamu alaikum yani tum per salamati ho Kaha karo 

ek shaks ka salam aur jawab kafi

 salam ke bare mein ye bhi hidayat  Hai ki jamaat mein se ek shaks ka salam aur jawab e salam sab ki taraf se kifayat kar jaega hazrat Ali ne rasool Allah sallallahu sallam ki taraf nisbat karke farmaya guzarne wali jamaat mein se agar ek aadmi salam kar le to Puri jamaat ki taraf se kafi ho jaega aur baithe hue logon mein se agar ek jawab de de to sab ki taraf se kafi ho jaega

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.