qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

islam aur jismani taharat ka nizam



wazu ki fazeelat aur tareeqa
assalamu alaikum islaam ne jismani taharat aur pakizgi ka jo nizam qaim farmaya woh bhi apne andar bahut si khusisiyat rakhta hai aaj nai tehqiqat wale bhi apne tariqa e maljat main pani ke ilaaj par zor de rahen hain aur is ilaaj ko kaha jata hai maqbuliyat bhi hasil ho rahi hai ye ek badahi chiz hai agar insan apne badan ko jismani imraz se mehfooz karna chahta hai to usko apne jism ki safai ki zaroorat hoti hai jism ko pani se dhona saaf karna ya gusl karna behtreen kaam hain islam jis tarah ruhani imraz ka muaalij hai usne jismani imraz door karne ke tariqe bhi mustaqil abwab ke sath qaim farmaye jin main wazu aur gusl apni jagah aise aamal hain jis main taharat aur paaki ki tamam chizen aa jati hain woh mazhab jo ruhani taharat chahta ho kaise mumkin tha ke woh jismani taharat ke unwan ko tishna chhor deta namaz ke liye wazu ko lazmi qarar diya gaya wazu ke tamam faraiz v sunan par gaur karo to pata chalta hai ke 24 ghante main panch waqta namazon ke liye munh hath chehra wagairah ke aaza ko achchhi tarah dhona jismani safai ke liye kuchh kam hai phir pani bhi woh jiska na to rang mutagayyar hua ho aur na uske zaiqe main faraq aaya ho take imraz ka shikar na ho  faraiz se qabl aalam e insaniyat ke muallim sarkar aalam sallallahu alaihi wasallam ne sunan ko muqaddam rakhne main is haqiqat ko samne rakha ke hath dhote waqt pani ko dekh le ke woh kis halat main hai kulli karne main pani ka maza maloom ho jayega naak se pani ki bu wagairah ka andaza kare phir jism ke hisse par adna nijasat baqi rakhne ki ijazat na hui balke uska dhona ya saaf karna zaroori qarar diya gaya munh ki safai ke liye sarkar e aalam ne miswak ki takeed farmai jiska natija ye hua ke aksar sahaba apne kanon main miswak lagae rehte the aur yahan tak huzur sallallahu alaihi wasallam farmate hain agar mujhe meri ummat ki mashqat ka khauf na hota to main miswak ko har namaz main lazim kar deta dusri jagah irshad farmate hain jis wazu main miswak ki jaye woh sawab main bagair miswak wale se sattar darja badha hua hai 
ab aaiye wazu ka tareeqa bhi mulahiza farmayen  unchi jagah par qibla ru ho kar bethe aur wazu karne se qabl bismillah kahe sabse awwal teen baar donon hathon ko gatton tak dhoye phir teen baar kulli karke miswak kare teen baar naak main pani dale (take bu ka ehsas ho) bayen hath se naak saaf kare phir teen baar munh dhoye jiski had peshani ke balon ki jad se lekar thori ke niche tak hai ek kaan ki lau se dusre kaan ki lau tak sab jagah pani bahaye dono abruon ke niche pani bahayen koi maqam khushk na reh jaye phir teen bar dahina hath kohni samet phir bayan hath isi tarah teen bar dhoye ungliyon ka khilal kare uske baad masah kare aurte wagairah chhalla wagairah hila kar pani pahunchayen  uske baad dono paun takhno tak pehle sidha phir ulta chhingliyan ka khilal bhi kare khatm wazu par surah inna anzalna padhe ya phir ye dua padhe Allahummaj alni minat tawwabina waj alni minal mutatah hirin 
nazreen wazu ek aisi chiz hai jise ham namaz ada karne ke liye namaz se pehle banate hain to jahan wazu se ek taraf namaz ada ki jati hai to wahi dusri jagah wazu se jismani taharat v safai bhi hasil hoti hai |


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.