qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

insaniyat kya hai aur kise kehte hain


 insaniyat kya hai aur kise kehte hain

Assalamu alaikum insaniyat `insan ke andar agar insaniyat hai to woh ek behtreen aadmi hai log uska charcha karte hain uski samaj main izzat hoti hai aur woh logon ke liye misal ban jaya karta hai agar insaniyat nahi hai to achha khasa aadmi bhi logon ki nazron se gir jata hai na samaj main uski koi izzat rehti hai aur na hi log usko koi tawajjo dete hain aap ye keh sakte hain jaisa ke ek kahawat hai dhobi ka kutta ghar ka na ghat ka aisi hi halat us shakhs ki jiske andar insaniyat nahi hai  ho jati hai to aayen insaniyat ke bare main baat karte hain jaisa aksar aap logon ne dusron se ye kehte huye suna hoga ke kya aap ke andar insaniyat nam ki koi chiz hai ya nahi to yahi insaniyat ke bare main batana chahta hun ke asal insaniyat kya hai insaniyat kise kehte hain 
insaniyat nam hai sharai v ikhlaqi qawaid v quood ki pabandi ka haiwan kisi qaidah v qanoon ka paband nahi hota ye qawaid v zawabit insan ke liye hain dekhiye sheher ke bazaron main diwaron par likha hota hai yahan peshab karna mana hai nahi to itna jurmana lagega aur police ke hawale kar diya jayega ab agar us jagah koi insan peshab karne lage to us par sakht kar.rawai ki jayegi aur police thane main alag lekar jaya jayega aur agar koi gadha chahe das aadmiyon ke bararbar  bhi peshab kar de use koi hathkari nahi lagata ye kyon isliye ke qanoon to insan ke liye hai na ke haiwanon ke liye  aap ne haiwano main nikah v talaq wagairah aur maa behen ka imteyaz na dekha hoga isliye ke ye sab qawaid v zawabit sirf insan ke liye hain koi gadha libas main malboos nahi hota na woh apne liye libas mangta hai aur na apni ahliya ke liye burqa chahta hai isliye ke ye satar v hijab ke sare qaide to insan ke liye hain hamare huzur sallallahu alaihi wasallam isi liye tashreef laye ke woh insan ko sharai fitri aur ikhlaqi qawaid ka paband bana kar  use insan bana den 
to huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ki talimat taleem e ikhlaq par hi amal ka naam insaniyat hai aur jo is talimat se munh pher leta hai woh haiwaniyat ikhteyar karta hai chunanche aaj kal ham ye jo dekh rahe hain uryani v fahashi be hijabi aur khade hokar peshab karna aur khade ho kar hi khana khana wagairah fashion nikal aaye hain ye sab baten insaniyat se bahar hain balke ye kehne mun kuchh sharam nahi ke ye sab haiwan wale kaam hain ek misal deta hun dekhiye paani insan bhi pita hai aur haiwan bhi pita hai haiwan pani khade khade pita hai insan bhi pani khade hokar piye to dono main kya farq raha  agar aadmi sunnat par amal karte huye pani beth kar piye aur teen sans main piye to yahi insaniyat hai 
musalmano huzur sallallahu alaihi wasallam ka itteba ikhtyar karo huzur ki irshad farmuda pabandiyon ko apnao aur insan bano is liye ke huzur sallahu alaihi wasallam hi ki gulami ka naam  insaniyat  hai.

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.