Ad
Scroll to continue reading
Ad

APNI ZABAN KI HIFAZAT KARO AUR HALAKAT SE BACHO


apni zaban ki hifazat karo aur halakat se bacho

Allah ta’ala ne insan ko bahut si nematon se nawaza hai aur unhi nematon mein ek bahut badi neamat zaban bhi hai. ye chhota sa gosht ka tukda insan ki izzat aur zillat dono ka sabab ban sakta hai. agar insan apni zaban ka sahi istemal kare to duniya aur akhirat mein kamyabi hasil karta hai aur agar iska galat istemal kare to halakat aur azab ka mustahiq ban jata hai. is mazmoon mein zaban ki ahmiyat aur uski hifazat ke mutalliq chand aham baten bayan ki ja rahi hain.

zaban ki ahmiyat aur iska asar

assalamu alaikum aaj main is artical main ye batana chahta hu ki hamare munh main ek gosht ka tukda hai jise ham zaban kehte hain dekhne main hame ye chhoti dikhai deti hai magar power bahut hai is main ye aadmi ko farsh se arsh tak aur arsh se farsh tak ka bhi safar kara deti hai agar ham zaban ka sahi use istemal karen aur hifazt karen to yahi izzat ka bais banegi nahi to zillat v halakat ka bais hogi aur ziyada janne ke liye aage ki tehreer mulahiza farmaye

Allah ki nematon ka shukr kaise ada karen

Allah ta’ala ki ham par be shumar nematen hain sab se pehli nemat ke allah ta’ala ne hamen insan paida farmaya phir chalne ke liye paon aur pakadne ke liye hath dekhne ke liye aankhen di sun ne ke liye kaan diye sochne ke liye dimag diya faisla karne ke liye dil diya aur bolne ke liye zaban di ye tamam ham par allah ta’ala ki nematen hain in nematon ka shukr ada karna bhi zaroori hai aur shukr ka tariqa ye hoga ke ham in tamam aaza ko allah ta’ala ke farman ke mutabiq istemal karen paon ko daake chori qatal o garat kalbon main jane ke liye istemal na karen paon ko masjidon madarson mehfil e naat o qirat main jane ke liye istemal karen isi tarah apne hathon ko bhi achchhe kamon main istemal karen apne kanon ko quran o paak ke sun ne main naat shareef sun ne main waaz o nasihat sun ne main istemal karen na ke gane aur music sun ne main is ko istemal karen isi tarah dimag main achchhi soch rakhen dimag ko buri sochon se bachayen dil se achchhe faisle karen bure faislon se dil ko bachayen zaban se achchha kalam karen qoran paak ki tilawat karen hadees e rasool sallallahu alaihi wasallam padhen naat darood ka wird karen zaban ko ganon main masroof na rakhe gali galoch se mehfooz rakhen va gar na kal qayamat wale din yahi aaza jin par aaj ham naaz kar rahe hain hamare khilaf allah ta’ala ki bargah main gawahi denge aur hamare liye azab ka bais banenge

zaban ka galat istemal halakat ka sabab

har ek azu ka galat istemal wabal aur nuqsan ka bais hai lekin zaban ka wabal v halakat in main se shadeed tareen hai kyonke agar zaban se aisa kalma keh diya jis main allah ta’ala ki narazgi ho to woh ek kalmah usko jahannam ki wadiyon main gira dega aaj to woh badi aasani se maze lekar logon ko khush karne ke liye bol raha hai lekin kal qayamat ke din yahi kalmah us ke liye dozakh main jane ka sabab banega jaisa ke hadees shareef main hai nabi kareem sallallahu alaihi wasallam irshad farmate hain banda aisa kalmah kehna kehte hain jis main allah ta’ala ki narazgi hoti hai woh bandah uski parwah nahi karta usko us kalmah ki wajah se jahannam main dala jata hai ek aur hadees main hai ke usko jahannam main mashriq aur magrib ke darmiyan musafat ki miqdar door phenk diya jayega is zaban ne usko halakat main daal diya

tamam aaza ka zaban se khitab

jab subah hoti hai to tamam aaza zaban se darkhast karte hain ke aye zaban ham tere tabe hain agar tu durust rahi to ham bhi durust rahenge aur agar tune terha pan ekhteyar kiya to ham bhi terhe ho jayenge jaisa ke hadees shareef main hai aaqa e do jahan sallallahu alaihi wasallam farmate hain -jab ibn e aadam subah karta hai to tamam aaza zaban se aajzi ke sath kehte hain aye zaban allah ta’ala se hamare bare main dar hamari achchhai aur tedha pan tere sath wabasta hai agar tu durust rahi to ham bhi durust rahenge aur agar tu tedhi ho gai to ham bhi tedhe ho jayenge-(tirmizi shareef)

logon ko hansane ke liye galat baat karna

isi tarah ek aur hadees shareef main hai nabi sallallahu alaihi wasallam farmate hain ke banda koi baat karta nahin kehta magar uske liye ke us se logon ko hansaye uski wajah se woh aasman o zameen ke fasla ziyadah niche gir jata hai woh apni zaban se fisalta hai us se sakht fisalna jo apne qadam se fisalta hai (behqi) is hadees se bhi ye baat sabit hoti hai ke logon ko hansane ke liye koi baat karna uske liye ziyadah nuqsan deh hai ke woh iski wajah se zameen o aasman ki jasamat se bhi door gir jata hai aur is se ye bhi pata chala ke zaban se fisalne wala qadam ke fisalne wale se ziyada sakht hai kyonke qadam se fisalne wale ko jism par chot aayegi aur zaban se fisalne wale ko imaan par chot aayegi

zaban aur sharmgah ki hifazat par jannat ki basharat

aur bhi mulahiza karen zaban ke bare main ke jis shakhs ne apni zaban aur sharmgah par control hasil kar liya to uske liye jannat ki khushkhabri hai jaisa ke huzur sallallahu alaihi wasallam farmate hain jo mujhe apni zaban aur sharmgah ki zamanat de de main mohammad sallallahu alaihi wasallam usko jannat ki zamanat deta hun-

khatma

lihaza hamen baat karne se pehle khub sochna chahiye ke kya ye baat achchhi hai ya buri kya is se allah ta’ala naraz to nahi hoga...

Allah ta’ala hame apni zaban ki hifazat karne, achchhi baten karne aur har us kalmah se bachne ki taufiq ata farmae jo uski narazgi ka sabab bane. aamin.

Yah Bhi Padhen
Latest Post
  • APNI ZABAN KI HIFAZAT KARO AUR HALAKAT SE BACHO
  • APNI ZABAN KI HIFAZAT KARO AUR HALAKAT SE BACHO
  • APNI ZABAN KI HIFAZAT KARO AUR HALAKAT SE BACHO
  • APNI ZABAN KI HIFAZAT KARO AUR HALAKAT SE BACHO
  • APNI ZABAN KI HIFAZAT KARO AUR HALAKAT SE BACHO
  • APNI ZABAN KI HIFAZAT KARO AUR HALAKAT SE BACHO
Post a Comment
Ad
Ad
Close Ads
Ad