Sarkar-e-Do Aalam Alaihis Salatu Wassalam Ki Burdabari Aur Rahmat
Is Hadees-e-Mubarak mein Rasool Allah Alaihis Salatu Wassalam ke Akhlaq-e-Haseen, Burdbari aur Sabr ka bayan kiya gaya hai. Yeh Waqia is baat ki gawahi deta hai ke aap Alaihis Salatu Wassalam apni Ummat ke liye Rahmat bankar aaye aur har takleef wa aziyat par bhi Darguzar se kaam lete the.
Hadees-e-Mubarak:
Hazrat Anas se Riwayat hai, farmate hain main Rasool Allah Alaihis Salatu Wassalam ke saath ja raha tha aur aap Alaihis Salatu Wassalam ne ek Najrani chadar Mubarak odhi hui thi jiska kinara mota tha. Is dauraan aap Alaihis Salatu Wassalam ko ek A’rabi (Dehati Aadmi) mila aur aap Alaihis Salatu Wassalam ki chadar Mubarak ko sakhti se kheencha. Maine aap Alaihis Salatu Wassalam ke Noorani kandhe ki jaanib dekha to us par chadar Mubarak ko sakhti se kheenchne ki wajah se nishanaat pad gaye. Phir woh A’rabi kehne laga, "Ya Muhammad (Alaihis Salatu Wassalam), aap Alaihis Salatu Wassalam ke paas Allah (Tabarak wa Ta’ala) ka jo maal hai us maal mein se mujhe bhi dene ke liye hukm farmaayein (yaani mujhe bhi maal dein)." Aap Alaihis Salatu Wassalam uski taraf mutawajjah hokar muskuraaye aur phir use dene ka hukm farmaaya.
Najran, Yaman ka ek shehar hai, uski taraf mansoob chadar ko Najrani chadar kehte hain. Is chadar ka haashiya bohot mota tha jiske kheenchne ke sabab se Sarwar-e-Kainaat Alaihis Salatu Wassalam ki gardan Mubarak mein nishan pad gaye the. Is Hadees Shareef se wazeh hota hai ke Sarkar-e-Kainaat Rahmatul-lil-Alameen Alaihis Salatu Wassalam Qavitar, Bardabar, Azeem Quwwat-e-Bardasht ke Maalik aur jaan wa maal mein aziyat pahunchnay par sakht sabr farmane wale hain. Aap Alaihis Salatu Wassalam is umeed par ke log Imaan le aayein, unke Jor wa Jafa par Darguzar farmate taake baad mein aane wale Hukmaran aap Alaihis Salatu Wassalam ke Khulq-e-Azeem wa Jameel ki Iqtidah karte hue Chashmposhi se kaam lein aur Ahsan tareeqe se sakht Quloob walon ki Mudaf’at karein.
Khulasa:
Is Hadees-e-Mubarak se yeh wazeh hota hai ke Rasool Allah Alaihis Salatu Wassalam intehai Bardabar aur Sabr wale the. Aapki Rahmat sirf doston aur chahne walon tak mehdood nahi thi, balki jo log sakhti se pesh aate, unke liye bhi aap Alaihis Salatu Wassalam ne Husn-e-Akhlaq ka behtareen namoona pesh kiya. Is Hadees se Ummat ko yeh seekh milti hai ke badtamizi aur sakhti ka jawab gusse se nahi balki narmi aur burdbari se dena chahiye, taake dilon mein narmi paida ho aur log Hidayat ki raah par aa sakein.
Post a Comment