qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Kharch karo tum par kharch kiya jaaega


Allah Ki Raah Mein Kharch Karne Ki Fazilat

Allah ta,ala irshad farmata hai ke aye insaan tu kharch kar take tujh par kharch kiya jaye 
Sakhaawat se muraad Allah ki raah mein Allah ki raza ke liye kharch karna hai, ise infaq fi sabilillah bhi kaha jata hai. Sakhawat Allah ko bahut pasand hai kyun ki sakhawat ki aadat bahut achhi sifat hai, balke Allah ke khas bandon ki pehchan hai ke woh Allah ki raah mein dil khol kar kharch karte hain aur unka yahi wasf unke hidayat yafta hone ki daleel hai.  

Sakhawat Ki Ahmiyat Aur Ajar

Sakhawat ka ajar duniya mein bhi milta hai aur aakhirat mein to bahut zyada milega. Duniya main sakhawat ke ajr ki surat yeh hoti hai ke Allah ki raah main dene walon ke maal main izafa hota hai, unke rizq ke zaraa farakh ho jate hai. Maal ke alawa ilm aur jaan ki bhi sakhaawat hai. Ilm ki sakhaawat yeh hai ke raza e ilaahi ke liye deen ko phailaya jaaye, aur jaan ki sakhaawat yeh hai ke Allah ke khatir dusre deeni bhaiyon ki quwwat aur taqat se madad ki jaaye.  

Zaaid Maal Kharch Karna

Behar kaif, sakhawat islam ki muaashi nizam main reedh ki haddi ki haisiyat rakhti hai, isliye huzoor Nabi Kareem sallallahu-alaihi-wasallam ne iski bahut takeed farmai hai.  
Rasool-e-Akram sallallahu-alaihi-wasallam ne irshad farmaya:  
_"Aye insaan! Zaaid maal kharch karna tere liye behtar hai, iska rokna tere liye bura hai. Baqadar zaroorat rokne par tujhe malamat nahi ki jayegi. Maal kharch karne ki ibteda apne ghar walon se kar aur upar wala hath nichle hath se behtar hai."_  
_(Muslim)_  

Be Hisab Ata

Nabi Kareem sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya:  
_"Be hisab kharch karo, Allah tala tumhain be hisab ata farmayega, aur Allah tala ki raah mein kharch karne se gurez na karo warna Allah tala tum par rok karega. Jahan tak mumkin ho khairat karo."_  
_(Muttafaq Alaih)_  

Maali Fakhr Aur Sakhawat

Hazrat Abu Zar (radi Allahu-anhu) riwayat karte hain:  
_"Main RasoolAllah sallallahu-alaihi-wasallam ki khidmat main hazir hua, to aap deewar-e-Kaba ke saaye main bethe the. Jab aapne mujhe dekha, to farmaya: ‘Rabb-e-Kaba ki qasam, woh log khasare main hain.’ Maine arz kiya, ‘Ya RasoolAllah sallallahu-alaihi-wasallam, mere maa baap aap par qurban hon, woh kaun log hain?’ To aapne farmaya: ‘Woh jo bahut ziyada maal rakhne wale hain, jo apne maalon ko is tarah aur is tarah, yani daayen aur baayen, aage aur peeche kharch karte hain. Aur aise log bahut kam hain.’"_  
_(Muttafaq Alaih)_  

Maal Aur Waris

Nabi sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya:  
_"Tum main se kis ko apne maal ki banisbat apne waris ka maal ziyada mehboob hai?"_ Sahaba kiram ne arz kiya:  
_"Ya RasoolAllah! Hum main se har ek ko apna hi maal ziyada mehboob hai."_ Aap sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya:  
_"Uska maal to woh hai jo aage bhej diya, aur waris ka maal toh woh hai jo peeche chhoda."_  
(Bukhari Shareef) 
Jahannam Se Bachne Ka Tareeqa
RasoolAllah sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya:  
"Jahannam ki aag se bacho agarche khajoor ke ek tukde ke sadqe ke zariye hi kyun na ho."  
(Bukhari)  

Bakheel Aur Kharch Karne Wala 

Hazrat Abu Huraira (radi Allahu-anhu) riwayat karte hain ke Rasool Akram sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya:  
_"Har subah jab bandagaan-e-Khuda bedaar hote hain, to do farishte utarte hain. Unmain se ek kehta hai: ‘Ya Allah, kharch karne wale ko uska badal ata farma,’ aur dusra kehta hai: ‘Ya Allah, bakheel ka maal tabah kar de.’"_  
_(Bukhari)_  


Nabi sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya:  

_"Allah tala irshad farmata hai: ‘Aye insaan, kharch kar taake tujh par kharch kiya jaye.’"_  
_(Bukhari)_  

Behar haal, doston Allah ki raah mein kharch karna bade sawab ka kaam hai aur Allah ki raah mein kharch karne se maal mein izaafa hota hai, barkat hoti hai.
Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.